गाँवों का उत्थान देखकर आया हूँ
मुखिया का दालान देखकर आया हूँ
मनरेगा की कहाँ मजूरी चली गई
सुखिया को हैरान देखकर आया हूँ
काग़ज़ पर पूरा पानी है नहरों में
सूख गया जो धान देखकर आया हूँ
कल तक टूटी छान न थी अब पक्का है
नया-नया परधान देखकर आया हूँ
लछमिनिया थी चुनी गई परधान मगर
उसका ‘पती-प्रधान’ देखकर आया हूँ
बंगले के अंदर में जाने क्या होगा
अभी तो केवल लॉन देखकर आया हूँ
रोज़ सदन में गाँव पे चर्चा होती है
‘मेरा देश महान’ देखकर आया हूँ
ganvon ka utthaan dekhkar aaya hoon
mukhiya ka dalan dekhkar aaya hoon
manrega ki kahan majuri chali gai
sukhiya ko hairan dekhkar aaya hoon
kaghaz par pura pani hai nahron men
sookh gaya jo dhaan dekhkar aaya hoon
kal tak tuti chhaan na thi ab pakka hai
naya naya pardhan dekhkar aaya hoon
lachhaminiya thi chuni gai pardhan magar
uska ‘pati pardhan’ dekhkar aaya hoon
bangle ke andar mein jane kya hoga
abhi to keval laun dekhkar aaya hoon
roz sadan mein gaanv pe charcha hoti hai
‘mera desh mahan’ dekhkar aaya hoon
ganvon ka utthaan dekhkar aaya hoon
mukhiya ka dalan dekhkar aaya hoon
manrega ki kahan majuri chali gai
sukhiya ko hairan dekhkar aaya hoon
kaghaz par pura pani hai nahron men
sookh gaya jo dhaan dekhkar aaya hoon
kal tak tuti chhaan na thi ab pakka hai
naya naya pardhan dekhkar aaya hoon
lachhaminiya thi chuni gai pardhan magar
uska ‘pati pardhan’ dekhkar aaya hoon
bangle ke andar mein jane kya hoga
abhi to keval laun dekhkar aaya hoon
roz sadan mein gaanv pe charcha hoti hai
‘mera desh mahan’ dekhkar aaya hoon
स्रोत :
रचनाकार : डी. एम. मिश्र
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.