नीम तरु से फूल झरते हैं
तुम्हारा मन नहीं छूते
बड़ा आश्चर्य है
रीझ सुरभित हरित वसना
घाटियों पर
व्यंग्य से हँसते हुए
परिपाटियों पर
इंद्रधनु सजते-सँवरते हैं
तुम्हारा मन नहीं छूते
बड़ा आश्चर्य है
गहन काली रात
बरखा की झड़ी में
याद डूबी, नींद से
रूठी घड़ी में
दूर वंशी-स्वर उभरते हैं
तुम्हारा मन नहीं छूते
बड़ा आश्चर्य है
वृक्ष, पर्वत, नदी,
बादल, चाँद, तारे
दीप, जुगनू, देव-दुर्लभ
अश्रु खारे
गीत कितने रूप धरते हैं
तुम्हारा मन नहीं छूते
बड़ा आश्चर्य है
neem taru se phool jharte hain
tumhara man nahin chhute
baDa ashcharya hai
reejh surbhit harit vasna
ghatiyon par
vyangya se hanste hue
paripatiyon par
indradhanu sajte sanvarte hain
tumhara man nahin chhute
baDa ashcharya hai
gahan kali raat
barkha ki jhaDi mein
yaad Dubi, neend se
ruthi ghaDi mein
door vanshi svar ubharte hain
tumhara man nahin chhute
baDa ashcharya hai
vriksh, parvat, nadi,
badal, chaand, tare
deep, jugnu, dev durlabh
ashru khare
geet kitne roop dharte hain
tumhara man nahin chhute
baDa ashcharya hai
neem taru se phool jharte hain
tumhara man nahin chhute
baDa ashcharya hai
reejh surbhit harit vasna
ghatiyon par
vyangya se hanste hue
paripatiyon par
indradhanu sajte sanvarte hain
tumhara man nahin chhute
baDa ashcharya hai
gahan kali raat
barkha ki jhaDi mein
yaad Dubi, neend se
ruthi ghaDi mein
door vanshi svar ubharte hain
tumhara man nahin chhute
baDa ashcharya hai
vriksh, parvat, nadi,
badal, chaand, tare
deep, jugnu, dev durlabh
ashru khare
geet kitne roop dharte hain
tumhara man nahin chhute
baDa ashcharya hai
स्रोत :
रचनाकार : किशन सरोज
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.