धूप पिघल गई
साँझ भी ढल गई
रात ने खोले नैन
तभी तो आया जिया को चैन
प्रीत के द्वारे जब कजरारे
नैन से मिल गए नैन
तभी तो आया जिया को चैन
दीपक बनकर जब तुम आए रात हुई उजियारी
वैसे तो तुम बिन ये रतियाँ थीं बिरहा की मारी
देख के तुमको चाँद छिप गया रात ने मूँदे नैन
तभी तो आया जिया को चैन
प्रीत की तुम धरती भी हो परबत भी और सागर भी
कलश तुम्हीं से भरे हुए हैं और मन की गागर भी
तुम छलके तो सारी धरती भीग गई बिन रैन
तभी तो आया जिया को चैन
कैसे-कैसे शुरू हुई थी अपनी प्रेम-कहानी
ख़ुशबू चाही तो तुम आए बनके रात की रानी
प्रेम के पथ पे तुम भी खोए हम भी रहे बेचैन
तभी तो आया जिया को चैन
dhoop pighal gai
saanjh bhi Dhal gai
raat ne khole nain
tabhi to aaya jiya ko chain
preet ke dvare jab kajrare
nain se mil ge nain
tabhi to aaya jiya ko chain
dipak bankar jab tum aaye raat hui ujiyari
vaise to tum bin ye ratiyan theen birha ki mari
dekh ke tumko chaand chhip gaya raat ne munde nain
tabhi to aaya jiya ko chain
preet ki tum dharti bhi ho parbat bhi aur sagar bhi
kalash tumhin se bhare hue hain aur man ki gagar bhi
tum chhalke to sari dharti bheeg gai bin rain
tabhi to aaya jiya ko chain
kaise kaise shuru hui thi apni prem kahani
khushbu chahi to tum aaye banke raat ki rani
prem ke path pe tum bhi khoe hum bhi rahe bechain

स्रोत :
रचनाकार : अनु रिज़वी
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.