सर्वनाम के संमुख सहमीं
जोड़े हाथ खड़ी संज्ञाएँ
बिना विशेषण वैशिष्ट्यों का
अभिनंदन कर रहीं क्रियाएँ
विच्छेदित हो रही संधियाँ
विग्रह से विचलित समास है
संशयग्रस्त समय का 'प्रत्यय'
मन 'विसर्ग' का उपन्यास है
कर्महीन कर्ता के हिस्से—
'सकल पदारथ' की सुविधाएँ
अलंकार, रसहीन व्यवस्था,
लुप्त छंद का अनुशासन है
सदाशयी सत्पथ संचारी—
भावों का सूना आसन है
शब्द-शक्ति सामर्थ्य खो चुकीं
अर्थहीन हो गई विधाएँ
एक वचन का बहुवचनों पर
एकछत्र अधिकार अभी भी
बोली से भाषा का परिचित—
परहेज़ी व्यवहार अभी भी
'वाक्यों' की करणी कुछ ऐसी
वर्णों की बिखरी निष्ठाएँ
तद्भव-तत्सम के पचड़े में
सपने उलझे विश्व-ग्राम के
अपभ्रंशों की संप्रभुता में
चिह्न नहीं दिखते विराम के
वैयाकरण व्यथित 'अव्यय' की
आशा छोड़ चुकी आशाएँ
सर्वनाम के सम्मुख सहमीं
जोड़े हाथ खड़ी संज्ञाएँ
बिना विशेषण वैशिष्ट्यों का
अभिनंदन कर रहीं क्रियाएँ
sarvanam ke sanmukh sahmin
joDe haath khaDi sangyayen
bina visheshan vaishishtyon ka
abhinandan kar rahin kriyayen
vichchhedit ho rahi sandhiyan
vigrah se vichlit samas hai
sanshay grast samay ka pratyay
man visarg ka upanyas hai
karmahin karta ke hisse—
sakal padarath ki suvidhayen
alankar, ras heen vyavastha,
lupt chhand ka anushasan hai
sadashii satpath sanchari—
bhavon ka suna aasan hai
shabd shakti samarthya kho chukin
arthahin ho gain vidhayen
ek vachan ka bahuvachnon par
ek chhatr adhikar abhi bhi
boli se bhasha ka parichit—
parheji vyvahar abhi bhi
vakyon ki karni kuch aisi
varnon ki bikhri nishthayen
tadbhav tatsam ke pachDe mein
sapne uljhe vishv gram ke
apabhranshon ki samprabhuta mein
chinh nahin dikhte viram ke
vaiyakran vyathit avyay ki
aasha chhoD chukin ashayen
sarvanam ke sanmukh sahmin
joDe haath khaDi sangyayen
bina visheshan vaishishtyon ka
abhinandan kar rahin kriyayen
sarvanam ke sanmukh sahmin
joDe haath khaDi sangyayen
bina visheshan vaishishtyon ka
abhinandan kar rahin kriyayen
vichchhedit ho rahi sandhiyan
vigrah se vichlit samas hai
sanshay grast samay ka pratyay
man visarg ka upanyas hai
karmahin karta ke hisse—
sakal padarath ki suvidhayen
alankar, ras heen vyavastha,
lupt chhand ka anushasan hai
sadashii satpath sanchari—
bhavon ka suna aasan hai
shabd shakti samarthya kho chukin
arthahin ho gain vidhayen
ek vachan ka bahuvachnon par
ek chhatr adhikar abhi bhi
boli se bhasha ka parichit—
parheji vyvahar abhi bhi
vakyon ki karni kuch aisi
varnon ki bikhri nishthayen
tadbhav tatsam ke pachDe mein
sapne uljhe vishv gram ke
apabhranshon ki samprabhuta mein
chinh nahin dikhte viram ke
vaiyakran vyathit avyay ki
aasha chhoD chukin ashayen
sarvanam ke sanmukh sahmin
joDe haath khaDi sangyayen
bina visheshan vaishishtyon ka
abhinandan kar rahin kriyayen
स्रोत :
पुस्तक : आईने अँधरा गए (पृष्ठ 27)
रचनाकार : राम निहोर तिवारी
प्रकाशन : बोधि प्रकाशन
संस्करण : 2023
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.