शांति समझौत!
युद्ध विराम!
युद्ध के बाद—
गिनती की जाएँगी लाशें
बटोरी जाएँगे कारतूसें
मिट जाएगा एक राष्ट्र का निशान
दूसरा गर्व से दिखाएगा फ़तह-ए-मैदान
आँखें नम होंगी शहीदों के हित
गाए जाएँगे बलिदान के गीत।
बच्चें अनाथ होकर बिलबिलाएँगे
औरतें विधवा होकर चीख़ेंगी
माँ-बाप संतानहीन होकर सर लाठी से टेक देंगे।
संभाल कर रखे जाएँगे
शहीदों के शस्त्र
फेंक दिए जाएँगे प्रेम-पत्र
यूँ ही रह जाएँगे
अनाथ बच्चे, विधवा औरतें और संतानहीन माँ-बाप के आँसू।
इन प्रेम-पत्रों और आँसुओं को
संभाल कर रखने के लिए
बनवानी पड़ेगी इतिहास का सबसे बड़ा म्यूजियम।
shanti samjhaut!
yuddh viram!
yuddh ke baad—
ginti ki jayengi lashen
batori jayenge kartusen
mit jayega ek raashtr ka nishan
dusra garv se dikhayega fatah e maidan
ankhen nam hongi shahidon ke hit
gaye jayenge balidan ke geet.
bachchen anath hokar bilabilayenge
aurten vidhva hokar chikhengi
maan baap santanhin hokar sar lathi se tek denge.
sambhal kar rakhe jayenge
shahidon ke shastr
phenk diye jayenge prem patr
yoon hi rah jayenge
anath bachche, vidhva aurten aur santanhin maan baap ke ansu.
in prem patron aur ansuon ko
sambhal kar rakhne ke liye
banvani paDegi itihas ka sabse baDa myujiyam.
shanti samjhaut!
yuddh viram!
yuddh ke baad—
ginti ki jayengi lashen
batori jayenge kartusen
mit jayega ek raashtr ka nishan
dusra garv se dikhayega fatah e maidan
ankhen nam hongi shahidon ke hit
gaye jayenge balidan ke geet.
bachchen anath hokar bilabilayenge
aurten vidhva hokar chikhengi
maan baap santanhin hokar sar lathi se tek denge.
sambhal kar rakhe jayenge
shahidon ke shastr
phenk diye jayenge prem patr
yoon hi rah jayenge
anath bachche, vidhva aurten aur santanhin maan baap ke ansu.
in prem patron aur ansuon ko
sambhal kar rakhne ke liye
banvani paDegi itihas ka sabse baDa myujiyam.
स्रोत :
रचनाकार : कृति राज
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.