चाहे कुछ भी वह दिखे
एक ज़ख़्मी हाथ
बुझा हुआ चूल्हा
कंधे पर से फटी हुई क़मीज़
पर कविता वह हर्गिज़ न दिखे
आर-पार बिंधी जा कर वह चीख़े
पर शब्द उससे न झरें बिंब न चुएँ
एक चीज़ उँगलियों की पोरों पर फफोले उगाती हुई चली गई
तुमने उसे सिर्फ़ अपनी सनसनी में झेला
एक चीज़ जो बरस से सुलग रही थी
उसे तुमने कहा बसंत
तवे पर जलती रोटी तुमने देखी
पर किमख़ाब का वह चुप टुकड़ा नहीं
जो रोटी के हाशिए को चबा रहा है
तुम्हारी लालची निगाह में एक चोर आँसू है प्रतीक
जो नारे लगाती हट्टी-कट्टी भीड़ के लिए बरस रहा है
अब अंतिम बार तुम्हें यह करना होगा
पेड़ और धूप और चिड़िया को
अपने सच में से छानकर सन्नाटे में बुनने के पहले
उन्हें शोर की दुम में नत्थी करना होगा
यह आख़िरी मौक़ा है
तुम्हें गोली और तेंदुआ और वर्दी को
सवा लाख मील लंबे अपने पोस्टर पर टाँगने के पहले
अपने झूठ में घुलाकर उनका अर्क़
एक बूँद पत्ती के हरेपन में बकना होगा
chahe kuch bhi wo dikhe
ek zakhmi hath
bujha hua chulha
kandhe par se phati hui qamiz
par kawita wo hargiz na dikhe
ar par bindhi ja kar wo chikhe
par shabd usse na jharen bimb na chuen
ek cheez ungliyon ki poron par phaphole ugati hui chali gai
tumne use sirf apni sansani mein jhela
ek cheez jo baras se sulag rahi thi
use tumne kaha basant
tawe par jalti roti tumne dekhi
par kimkhab ka wo chup tukDa nahin
jo roti ke hashiye ko chaba raha hai
tumhari lalchi nigah mein ek chor ansu hai pratik
jo nare lagati hatti katti bheeD ke liye baras raha hai
ab antim bar tumhein ye karna hoga
peD aur dhoop aur chiDiya ko
apne sach mein se chhankar sannate mein bunne ke pahle
unhen shor ki dum mein natthi karna hoga
ye akhiri mauqa hai
tumhein goli aur tendua aur wardi ko
sawa lakh meel lambe apne poster par tangane ke pahle
apne jhooth mein ghulakar unka arq
ek boond patti ke harepan mein bakna hoga
chahe kuch bhi wo dikhe
ek zakhmi hath
bujha hua chulha
kandhe par se phati hui qamiz
par kawita wo hargiz na dikhe
ar par bindhi ja kar wo chikhe
par shabd usse na jharen bimb na chuen
ek cheez ungliyon ki poron par phaphole ugati hui chali gai
tumne use sirf apni sansani mein jhela
ek cheez jo baras se sulag rahi thi
use tumne kaha basant
tawe par jalti roti tumne dekhi
par kimkhab ka wo chup tukDa nahin
jo roti ke hashiye ko chaba raha hai
tumhari lalchi nigah mein ek chor ansu hai pratik
jo nare lagati hatti katti bheeD ke liye baras raha hai
ab antim bar tumhein ye karna hoga
peD aur dhoop aur chiDiya ko
apne sach mein se chhankar sannate mein bunne ke pahle
unhen shor ki dum mein natthi karna hoga
ye akhiri mauqa hai
tumhein goli aur tendua aur wardi ko
sawa lakh meel lambe apne poster par tangane ke pahle
apne jhooth mein ghulakar unka arq
ek boond patti ke harepan mein bakna hoga
स्रोत :
पुस्तक : अपने होने को अप्रकाशित करता हुआ (पृष्ठ 52)
रचनाकार : मलयज
प्रकाशन : संभावना प्रकाशन
संस्करण : 1980
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.