इस पहर एक आवाज़ आती है
अपनी ही साँस चलने की
इस पहर मेरे ही प्राणों के स्पंदन से
चलती है यह सृष्टि
इस पहर चीज़ों के यूँ होने का
मैं ही हूँ दुखद उद्गम
इसी पहर एक चिड़िया अपने घोंसले में
स्वप्न देख रही है
कि यह दुनिया सुंदर हो रही है
एक स्त्री अपनी व्यथा को उतारकर
रख रही है एक तरफ़
चिरपरिचित अपने परिधान को
अपने लंबे बालों को खोलकर दोबारा बाँध रही है
जैसे किसी तैयारी में हो
कहीं जाने की आतुरता हो उसमें
एक सादगी में जैसे वह उतरना चाहती हो
पार करना चाहती हो जैसे कोई नदी
वह पार उतर भी जाती है
जाती हुई दिखती है फिर उधर
जिधर प्रकृति है और हरीतिमा
नए परिधान उसके
जिनमें प्रसन्नचित्त वह प्रतीक्षा करती है
नए आघात की
is pahar ek awaz aati hai
apni hi sans chalne ki
is pahar mere hi pranon ke spandan se
chalti hai ye sirishti
is pahar chizon ke yoon hone ka
main hi hoon dukhad udgam
isi pahar ek chiDiya apne ghonsle mein
swapn dekh rahi hai
ki ye duniya sundar ho rahi hai
ek istri apni wyatha ko utarkar
rakh rahi hai ek taraf
chiraprichit apne paridhan ko
apne lambe balon ko kholkar dobara bandh rahi hai
jaise kisi taiyari mein ho
kahin jane ki aturta ho usmen
ek sadgi mein jaise wo utarna chahti ho
par karna chahti ho jaise koi nadi
wo par utar bhi jati hai
jati hui dikhti hai phir udhar
jidhar prakrti hai aur haritima
nae paridhan uske
jinmen prasannachitt wo pratiksha karti hai
nae aghat ki
is pahar ek awaz aati hai
apni hi sans chalne ki
is pahar mere hi pranon ke spandan se
chalti hai ye sirishti
is pahar chizon ke yoon hone ka
main hi hoon dukhad udgam
isi pahar ek chiDiya apne ghonsle mein
swapn dekh rahi hai
ki ye duniya sundar ho rahi hai
ek istri apni wyatha ko utarkar
rakh rahi hai ek taraf
chiraprichit apne paridhan ko
apne lambe balon ko kholkar dobara bandh rahi hai
jaise kisi taiyari mein ho
kahin jane ki aturta ho usmen
ek sadgi mein jaise wo utarna chahti ho
par karna chahti ho jaise koi nadi
wo par utar bhi jati hai
jati hui dikhti hai phir udhar
jidhar prakrti hai aur haritima
nae paridhan uske
jinmen prasannachitt wo pratiksha karti hai
nae aghat ki
स्रोत :
पुस्तक : स्वप्न समय (पृष्ठ 20)
रचनाकार : सविता सिंह
प्रकाशन : राधाकृष्ण प्रकाशन
संस्करण : 2013
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.