मुख से कोई शब्द न निकले।
दिन-प्रतिदिन जो भाव-विचार उठा करते हैं
उन्हें छिपाओ।
वे रजनी में नक्षत्रों की तरह उदित हों,
प्रभा बिखेरें और अस्त हों—
अनाहूत, अनसुने, अनसराहे।
तुम उन पर आँख लगाओ,
बलि जाओ,
पर मुख से कोई शब्द न निकले।
हृदय हृदय से कब शब्दों में बोला करता?
शब्द और संगीत कहाँ विश्वास जगाते,
जिसके बल पर हम जी सकते, मर सकते है?
हर विचार जो व्यक्त हो गया झूठ निकलता।
धारा को अटूट बहने दो,
स्वच्छ तथा निर्मल रहने दो,
हाथों से जल को मत हलकोरो, छलकाओ,
ओंठ लगाकर पीते जाओ,
मुख से कोई शब्द न निकले।
अपने अंदर धँसो,
रहो परियों की या जादुई कल्पना की दुनिया में
जहाँ जगत का हल्ला-गुल्ला नही पहुँचता,
और जहाँ के रहम राग के लिए
धरा के कान बधिर हैं।
उनको अनको,
वारो मन को,
मुख से कोई शब्द न निकले।
mukh se koi shabd na nikle.
din pratidin jo bhaav vichar utha karte hai
unhen chhipao.
ve rajni mein nakshatron ki tarah udit ho,
prabha bikhere aur ast ho—
anahut, anasune, anasrahe.
tum unpar ankh lagao,
bali jao.
par mukh se koi shabd na nikle.
hday hday se kab shabdon mein bola karta?
shabd aur sangit kaha vishvas jagate,
jiske bal par hum ji sakte, mar sakte hai?
har vichar jo vyakt ho gaya jhooth nikalta.
dhara ko atut bahne do,
svachchh tatha nirmal rahne do,
hathon se jal ko mat halkaro, chhalkao,
avnth lagakar pite jao
apne andar dhanso,
raho pariyon ki ya jadui kalpana ki duniya mein
jahan jagat ka halla gulla nahi pahunchta,
aur jahan ke rahm raag ke liye
dhara ke kaan badhir hai.
unko anko,
varo man ko,
mukh se koi shabd na nikle.
mukh se koi shabd na nikle.
din pratidin jo bhaav vichar utha karte hai
unhen chhipao.
ve rajni mein nakshatron ki tarah udit ho,
prabha bikhere aur ast ho—
anahut, anasune, anasrahe.
tum unpar ankh lagao,
bali jao.
par mukh se koi shabd na nikle.
hday hday se kab shabdon mein bola karta?
shabd aur sangit kaha vishvas jagate,
jiske bal par hum ji sakte, mar sakte hai?
har vichar jo vyakt ho gaya jhooth nikalta.
dhara ko atut bahne do,
svachchh tatha nirmal rahne do,
hathon se jal ko mat halkaro, chhalkao,
avnth lagakar pite jao
apne andar dhanso,
raho pariyon ki ya jadui kalpana ki duniya mein
jahan jagat ka halla gulla nahi pahunchta,
aur jahan ke rahm raag ke liye
dhara ke kaan badhir hai.
unko anko,
varo man ko,
mukh se koi shabd na nikle.
स्रोत :
पुस्तक : चौंसठ रूसी कविताएँ (पृष्ठ 82)
रचनाकार : फैदोर त्यूतशेव
प्रकाशन : राजपाल एंड संस
संस्करण : 1964
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.