वह लड़की
नहीं सुनती है किसी की
जब बातें
उसे पसंद नहीं होती हैं।
खड़ी हो जाती है
निडर अकेली सबके सामने
अगर सहमत ना हो
किसी विचार पर।
उसके शब्दकोष में
नहीं है एक भी शब्द
लैंगिक असमानता का;
ना ही उसे पसंद है
वैसे कोई भी नियम
जो बने हों सिर्फ़
व्यक्ति विशेष के लिए।
वह समर्पित है
अपने प्रत्येक कर्तव्यों के लिए
उसे पता था
अधिकार तो उसके है ही;
वह स्वयं सक्षम है
अपना घर बनाने में
उसे पता है
अन्य दो घर उसके हैं ही।
उसे पसंद नहीं है
वृद्ध व्यक्ति को उठाकर
महिला सीट पर क़ब्ज़ा करना
ना ही उसे पसंद है
कार्यक्षेत्र में अपने स्त्रीत्व का
इस्तेमाल कर आगे बढ़ना।
वह विरोध करती है उस धारणा का
जहां पति को सहचर से
परमेश्वर बनाती है स्त्रियाँ
अनजाने में वे अर्धनारीश्वर के धारणा को
छिन्न-भिन्न कर रही होती हैं,
साथ ही दो समान रिश्ते के समीकरण को
ऊपर नीचे कर रही होती हैं।
उसकी आदर्श सावित्री रही
जो कि सत्यवान के प्राण
वापस लाने में सक्षम थी
और याज्ञसेनी द्रौपदी भी
जो पांचाली और चिर कुंवारी थी।
वह प्रेम करती है
स्वयं को
अपने मित्रों-संबंधियों को
और उन सबको
जो उसे प्रेम करते हैं,
क्योंकि उसे पता है
कि उसका अस्तित्व
उन सबसे है।
वह माता-पिता, सास-ससुर का संबल है
भाई-बहन का साथ देने को कृतसंकल्पित है
सशक्त माँ है,
स्वाबलंबी सहधर्मिणी है
निष्ठावान मित्र है
और एक कर्तव्यनिष्ठ नागरिक है
अपने समाज और देश की।
wo laDki
nahin sunti hai kisi ki
jab baten
use pasand nahin hoti hain.
khaDi ho jati hai
niDar akeli sabke samne
agar sahmat na ho
kisi vichar par.
uske shabdkosh men
nahin hai ek bhi shabd
laingik asmanata ka;
na hi use pasand hai
vaise koi bhi niyam
jo bane hon sirf
vyakti vishesh ke liye.
wo samarpit hai
apne pratyek kartavyon ke liye
use pata tha
adhikar to uske hai hee;
wo svayan saksham hai
apna ghar banane men
use pata hai
anya do ghar uske hain hi.
use pasand nahin hai
vriddh vyakti ko uthakar
mahila seet par qabza karna
na hi use pasand hai
karyakshetr mein apne streetv ka
istemal kar aage baDhna.
wo virodh karti hai us dharna ka
jahan pati ko sahchar se
parmeshvar banati hai striyan,
anjane mein ve ardhanarishvar ke dharna ko
chhinn bhinn kar rahi hoti hain,
saath hi do saman rishte ke samikran ko
uupar niche kar rahi hoti hain.
uski adarsh savitri rahi
jo ki satyavan ke praan
vapas lane mein saksham thi
aur yagyseni draupadi bhi
jo panchali aur chir kunvari thi.
wo prem karti hai
svayan ko,
apne mitron sambandhiyon ko,
aur un sabko
jo use prem karte hain,
kyonki use pata hai
ki uska astitv
un sabse hai.
wo mata pita, saas sasur ka sambal hai
bhai bahan ka saath dene ko kritsankalpit hai,
sashakt maan hai,
svablambi sahdharmini hai,
nishthavan mitr hai,
aur ek kartavyanishth nagarik hai
apne samaj aur desh ki.
wo laDki
nahin sunti hai kisi ki
jab baten
use pasand nahin hoti hain.
khaDi ho jati hai
niDar akeli sabke samne
agar sahmat na ho
kisi vichar par.
uske shabdkosh men
nahin hai ek bhi shabd
laingik asmanata ka;
na hi use pasand hai
vaise koi bhi niyam
jo bane hon sirf
vyakti vishesh ke liye.
wo samarpit hai
apne pratyek kartavyon ke liye
use pata tha
adhikar to uske hai hee;
wo svayan saksham hai
apna ghar banane men
use pata hai
anya do ghar uske hain hi.
use pasand nahin hai
vriddh vyakti ko uthakar
mahila seet par qabza karna
na hi use pasand hai
karyakshetr mein apne streetv ka
istemal kar aage baDhna.
wo virodh karti hai us dharna ka
jahan pati ko sahchar se
parmeshvar banati hai striyan,
anjane mein ve ardhanarishvar ke dharna ko
chhinn bhinn kar rahi hoti hain,
saath hi do saman rishte ke samikran ko
uupar niche kar rahi hoti hain.
uski adarsh savitri rahi
jo ki satyavan ke praan
vapas lane mein saksham thi
aur yagyseni draupadi bhi
jo panchali aur chir kunvari thi.
wo prem karti hai
svayan ko,
apne mitron sambandhiyon ko,
aur un sabko
jo use prem karte hain,
kyonki use pata hai
ki uska astitv
un sabse hai.
wo mata pita, saas sasur ka sambal hai
bhai bahan ka saath dene ko kritsankalpit hai,
sashakt maan hai,
svablambi sahdharmini hai,
nishthavan mitr hai,
aur ek kartavyanishth nagarik hai
apne samaj aur desh ki.
स्रोत :
रचनाकार : मेधा झा
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.