(मानुअल मैयीआ वायेख़ो और डोरा लूस के लिए)
किसी आदमी का घर,
किसी ऐसे आदमी के लिए घर जिसका घर नहीं हो सकता।
किसी आदमी के घर का आँगन,
आँगन जहाँ बारिश अपने आप को गेहूँ की तरह बो रही है।
किसी आदमी के घर का पेड़,
पेड़ जो समय के बीतने का ध्यान रखता है।
किसी आदमी के घर का प्रकाश,
प्रकाश जो रात को अपने जूते खोल देता है
किसी आदमी के घर का दरवाज़ा,
दरवाज़ा जो अब दरवाज़ा नहीं रहना चाहता।
किसी आदमी के घर की छत,
छत जो उसके पैरों के निशान का पीछा करने के लिए पंखों में बँट जाती है।
किसी आदमी के घर की खिड़की,
खिड़की जो उसके चेहरे की परवाह करने के लिए उसका चेहरा अपने ऊपर उकेर लेती है।
किसी आदमी के घर की हवा,
हवा जो उसको अपने अंदर भर लेती है लेती है जब वह इससे साँस लेता है।
किसी आदमी के घर का चित्र,
चित्र जो उसके चित्र की नक़ल करता है।
किसी आदमी के घर का खंडहर,
बस खंडहर ही है जो हारे नहीं हैं।
किसी आदमी के घर की परछाईं,
परछाईं जो आदमी की परछाईं से सुख लेती है।
किसी आदमी के घर का प्रेम
प्रेम जो घर को भर देता है और घर को ख़ाली कर देता है।
(manual maiyia wayekho aur Dora loos ke liye)
kisi adami ka ghar,
kisi aise adami ke liye ghar jiska ghar nahin ho sakta
kisi adami ke ghar ka angan,
angan jahan barish apne aap ko gehun ki tarah bo rahi hai
kisi adami ke ghar ka peD,
peD jo samay ke bitne ka dhyan rakhta hai
kisi adami ke ghar ka parkash,
parkash jo raat ko apne jute khol deta hai
kisi adami ke ghar ka darwaza,
darwaza jo ab darwaza nahin rahna chahta
kisi adami ke ghar ki chhat,
chhat jo uske pairon ke nishan ka pichha karne ke liye pankhon mein bant jati hai
kisi adami ke ghar ki khiDki,
khiDki jo uske chehre ki parwah karne ke liye uska chehra apne upar uker leti hai
kisi adami ke ghar ki hawa,
hawa jo usko apne andar bhar leti hai leti hai jab wo isse sans leta hai
kisi adami ke ghar ka chitr,
chitr jo uske chitr ki naqal karta hai
kisi adami ke ghar ka khanDhar,
bus khanDhar hi hai jo hare nahin hain
kisi adami ke ghar ki parchhain,
parchhain jo adami ki parchhain se sukh leti hai
kisi adami ke ghar ka prem
prem jo ghar ko bhar deta hai aur ghar ko khali kar deta hai

स्रोत :
संपादक : अविनाश मिश्र
रचनाकार : रोबेर्तो ख्वार्रोस
प्रकाशन : सदानीरा पत्रिका, अंक-21
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.