वे कविताएँ लिखी गई थीं जब मैं होश सँभाल रही थी,
मुझे नहीं था बोध कि मैं हूँ कवि-जैसा कोई महान जन,
वे कविताएँ फूट पड़ी थीं ज्यों फ़व्वारे की बौछारें,
जैसे रॉकेटों से सहसा झर पड़ते हैं प्रबल अग्नि-कण।
उतर पड़ीं वे नन्हीं-नन्हीं नटखट परियों-सी उपवन में,
जहाँ उनींदी धूप-गंध फैली थी, मादकता छाई थी,
यौवन और मृत्यु के संदर्भों की थीं मेरी कविताएँ
—अपठित कविताएँ—वे मैंने प्राणों-सी प्यारी पाई थीं।
वे किताब की दूकानों में धूल लदी बिखरी फैली थीं,
(जहाँ न उनका ख़रीदार था कल, न आज भी ख़रीदार है)
लेकिन वे मेरी कविताएँ मूल्यवान मदिराओं-जैसी
उचित समय पर पाएँगी निज ग़ौरव, यह आस्था अपार है!
ve kavitayen likhi gai theen jab main hosh sanbhal rahi thi,
mujhe nahin tha bodh ki main hoon kavi jaisa koi mahan jan,
ve kavitayen phoot paDi theen jyon favvare ki bauchharen,
jaise raketon se sahsa jhar paDte hain prabal agni kan.
utar paDin ve nanhin nanhin natkhat pariyon si upvan mein,
jahan unindi dhoop gandh phaili thi, madakta chhai thi,
yauvan aur mrityu ke sandarbhon ki theen meri kavitayen
—apthit kavitayen—ve mainne pranon si pyari pai theen.
ve kitab ki dukanon mein dhool ladi bikhri phaili theen,
(jahan na unka kharidar tha kal, na aaj bhi kharidar hai)
lekin ve meri kavitayen mulyavan madiraon jaisi
uchit samay par payengi nij ghaurav, ye astha apar hai!

स्रोत :
पुस्तक : आधुनिक रूसी कविताएँ-1 (पृष्ठ 70)
संपादक : नामवर सिंह
रचनाकार : मारीना त्स्वेतायेवा
प्रकाशन : राजकमल प्रकाशन, नई दिल्ली
संस्करण : 1978
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.