उत्तराधिकारी हूँ उस बूढ़े पलंग की
जो दिया था नाना ने माँ को
समाहित है जिसमें स्नेह,
ननिहाल के मेरे समस्त परिजनों का।
उत्तराधिकारी हूँ मैं उस चश्मे की
जो सुरक्षित है मेरे पर्स में।
झाँकती हैं आज भी जिससे
स्नेह से नाना की आँखें।
उत्तराधिकारी हूँ उस सेवा भाव की
जो देखा था मैंने बड़े काका में
दादी की अहर्निश सेवा करते हुए
बाबा की पुकार पर दौड़ते हुए।
अधिकारी हूँ मैं आशीर्वाद की भी
जो देती रहती है मेरी काकी
मेरे भाई और भाभी को
हृदय से भर कर निरंतर।
रखा है निर्भयता, नैतिकता, न्याय
प्रेम, ईमानदारी ख़ुद में संभाल कर
कि देना है अपनी संतति को
उत्तराधिकार में इन्हें पोषित कर।
uttaradhikari hoon us buDhe palang ki
jo diya tha nana ne maan ko;
samahit hai jismen sneh,
nanihal ke mere samast parijnon ka.
uttaradhikari hoon main us chashme ki
jo surakshit hai mere pars mein.
jhankti hain aaj bhi jisse
sneh se nana ki ankhen.
uttaradhikari hoon us seva bhaav ki
jo dekha tha mainne baDe kaka men
dadi ki aharnish seva karte hue
baba ki pukar par dauDte hue.
adhikari hoon main ashirvad ki bhi
jo deti rahti hai meri kaki
mere bhai aur bhabhi ko
hriday se bhar kar nirantar.
rakha hai nirbhayta, naitikta, nyaay
prem, iimandari khud mein sambhal kar,
ki dena hai apni santati ko
uttaradhikar mein inhen poshit kar.
uttaradhikari hoon us buDhe palang ki
jo diya tha nana ne maan ko;
samahit hai jismen sneh,
nanihal ke mere samast parijnon ka.
uttaradhikari hoon main us chashme ki
jo surakshit hai mere pars mein.
jhankti hain aaj bhi jisse
sneh se nana ki ankhen.
uttaradhikari hoon us seva bhaav ki
jo dekha tha mainne baDe kaka men
dadi ki aharnish seva karte hue
baba ki pukar par dauDte hue.
adhikari hoon main ashirvad ki bhi
jo deti rahti hai meri kaki
mere bhai aur bhabhi ko
hriday se bhar kar nirantar.
rakha hai nirbhayta, naitikta, nyaay
prem, iimandari khud mein sambhal kar,
ki dena hai apni santati ko
uttaradhikar mein inhen poshit kar.
स्रोत :
रचनाकार : मेधा झा
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.