ख़बर सुनी, पड़ोसी के घर
लड़की हुई
बावजूद इसके
कि डॉक्टर ने ऐन तीसरे माह
दे दी थी लड़की होने की
ठीक-ठीक जानकारी।
हैरानी से भरे हैं पिता
कि वे तो सूचना मिलते ही
ले आए थे ज़रूरी दवाएँ
और जड़ी-बूटियाँ।
चाची भी क़सम खाकर कहती है
कि समय रहते ही उसने
कर लिए थे हर संभव उपाए।
दादी और बुआ तो साक्षी हैं
कि बच्ची के जनमते ही
दाई ने चटा दिया था उसे
ढेला भर नमक।
आश्चर्य!
तमाम एहतियात के बावजूद
पड़ोसी के घर लड़की हुई।
इसीलिए अँधियारी कोठरी में
अकेली बंद पड़ी होने के बावजूद
आश्वस्ति से थपका रही है माँ
अपने जीवित अस्तित्व के
बित्ता भर सबूत को
कि जो इतने पर भी नहीं मरी
और धरती पर आ ही गिरी
वह उम्र भी पाएगी
पहचान भी बनाएगी।
khabar suni,paDosi ke ghar
laDki hui
bavjud iske
ki Dauktar ne ain tisre maah
de di thi laDki hone ki
theek theek jankari.
hairani se bhare hain pita
ki ve to suchana milte hi
le aaye the zaruri davayen
aur jaDi butiyan.
chachi bhi qasam khakar kahti hai
ki samay rahte hi usne
kar liye the har sambhav upaye.
dadi aur bua to sakshi hain
ki bachchi ke janamte hi
dai ne chata diya tha use
Dhela bhar namak.
ashcharya!
tamam ehtiyat ke bavjud
paDosi ke ghar laDki hui.
isiliye andhiyari kothari men
akeli band paDi hone ke bavjud
ashvasti se thapka rahi hai maan
apne jivit astitv ke
bitta bhar sabut ko
ki jo itne par bhi nahin mari
aur dharti par aa hi giri
wo umr bhi payegi
pahchan bhi banayegi.
khabar suni,paDosi ke ghar
laDki hui
bavjud iske
ki Dauktar ne ain tisre maah
de di thi laDki hone ki
theek theek jankari.
hairani se bhare hain pita
ki ve to suchana milte hi
le aaye the zaruri davayen
aur jaDi butiyan.
chachi bhi qasam khakar kahti hai
ki samay rahte hi usne
kar liye the har sambhav upaye.
dadi aur bua to sakshi hain
ki bachchi ke janamte hi
dai ne chata diya tha use
Dhela bhar namak.
ashcharya!
tamam ehtiyat ke bavjud
paDosi ke ghar laDki hui.
isiliye andhiyari kothari men
akeli band paDi hone ke bavjud
ashvasti se thapka rahi hai maan
apne jivit astitv ke
bitta bhar sabut ko
ki jo itne par bhi nahin mari
aur dharti par aa hi giri
wo umr bhi payegi
pahchan bhi banayegi.
स्रोत :
रचनाकार : अलका सिन्हा
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.