हमारा मौहल्ला लगभग एक ही था
गली में एक टेड थी बस
जिसमें छुप जाता था उसका दरवाज़ा
मगर छत से
सीधी हो जाती थी टेड़
और खुल जाता था रास्ता
गाँव में
लड़के लड़कियाँ दूर ही रहते थे उन दिनों
मगर मानती नहीं थीं उसकी आँखें कोई आदेश
और झुटलाती रहती थी उसकी हँसी सारी बंदिशें
उससे कभी कोई बात की
याद नहीं
फिर भी न जाने कितनी बातें याद हैं उसकी
स्मृति की खाँच में धंसी है उसकी आवाज़
उसकी शादी याद है
और बहुत पहले
उसके भाई की बताई
ससुराल में उसकी मौत की ख़बर भी
अब भी
जब तब
किसी चिड़िया-सी
पेड़ के झुरमुट से
फ़ुर्र हो जाती है उसकी हँसी
कितनी पागल थी वो लड़की
जीने की उसे कितनी तमन्ना थी।
hamara mauhalla lagbhag ek hi tha
gali mein ek teD thi bas
jismen chhup jata tha uska darvaza
magar chhat se
sidhi ho jati thi teD
aur khul jata tha rasta
gaanv men
laDke laDkiyan door hi rahte the un dinon
magar manti nahin theen uski ankhen koi adesh
aur jhutlati rahti thi uski hansi sari bandishen
usse kabhi koi baat ki
yaad nahin
phir bhi na jane kitni baten yaad hain uski
smriti ki khaanch mein dhansi hai uski avaz
uski shadi yaad hai
aur bahut pahle
uske bhai ki batai
sasural mein uski maut ki khabar bhi
ab bhi
jab tab
kisi chiDiya si
peD ke jhurmut se
furr ho jati hai uski hansi
kitni pagal thi wo laDki
jine ki use kitni tamanna thi.
hamara mauhalla lagbhag ek hi tha
gali mein ek teD thi bas
jismen chhup jata tha uska darvaza
magar chhat se
sidhi ho jati thi teD
aur khul jata tha rasta
gaanv men
laDke laDkiyan door hi rahte the un dinon
magar manti nahin theen uski ankhen koi adesh
aur jhutlati rahti thi uski hansi sari bandishen
usse kabhi koi baat ki
yaad nahin
phir bhi na jane kitni baten yaad hain uski
smriti ki khaanch mein dhansi hai uski avaz
uski shadi yaad hai
aur bahut pahle
uske bhai ki batai
sasural mein uski maut ki khabar bhi
ab bhi
jab tab
kisi chiDiya si
peD ke jhurmut se
furr ho jati hai uski hansi
kitni pagal thi wo laDki
jine ki use kitni tamanna thi.
स्रोत :
रचनाकार : संजीव कौशल
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.