सुना जाता है
पाँच शताब्दी पहले आए एक तुर्क ने
ढहा दिया था हमारे आस्था के मंदिर को
धीरे-धीरे यह हवा ज़र्रे-ज़र्रे से निकल
समा गई हमारे फेफड़ों में
फेफड़ों में भरी हवा का
दबाव इतना इतना बढ़ गया
कि ढह गया एक और आस्था का मंदिर
कुछ दशकों बाद एक बार फिर से
बढ़ने लगा फेफड़ों में भरी हवा का दबाव
इस बार हवा सिर्फ़ फेफड़ों में ही नहीं
बल्कि भरी थी सिंहासन में भी
जिसका असर इस कदर हुआ कि
आस्था का ही मंदिर ही नहीं
बल्कि लोगों के मंदिर भी टूटे
किसी की छत गई
तो किसी की ज़मीन
लोग बहुत रोए बिलखे
बताने की कोशिश की
कि उनके फेफड़ों में भी भरी है वही हवा
जांच कराने की गुज़ारिश भी की
पर उनकी एक न सुनी गई
आख़िर सिंहासन किसकी सुनता है।
suna jata hai
paanch shatabdi pahle aaye ek turk ne
Dhaha diya tha hamare astha ke mandir ko
dhire dhire ye hava zarre zarre se nikal
sama gai hamare phephDon men
phephDon mein bhari hava ka
dabav itna itna baDh gaya
ki Dhah gaya ek aur astha ka mandir
kuch dashkon baad ek baar phir se
baDhne laga phephDon mein bhari hava ka dabav
is baar hava sirph phephDon mein hi nahin
balki bhari thi sinhasan mein bhi
jiska asar is kadar hua ki
astha ka hi mandir hi nahin
balki logon ke mandir bhi tute
kisi ki chhat gai
to kisi ki jamin
log bahut roe bilkhe
batane ki koshish ki
ki unke phephDon mein bhi bhari hai vahi hava
jaanch karane ki gujarish bhi ki
par unki ek na suni gai
akhir sinhasan kiski sunta hai.
suna jata hai
paanch shatabdi pahle aaye ek turk ne
Dhaha diya tha hamare astha ke mandir ko
dhire dhire ye hava zarre zarre se nikal
sama gai hamare phephDon men
phephDon mein bhari hava ka
dabav itna itna baDh gaya
ki Dhah gaya ek aur astha ka mandir
kuch dashkon baad ek baar phir se
baDhne laga phephDon mein bhari hava ka dabav
is baar hava sirph phephDon mein hi nahin
balki bhari thi sinhasan mein bhi
jiska asar is kadar hua ki
astha ka hi mandir hi nahin
balki logon ke mandir bhi tute
kisi ki chhat gai
to kisi ki jamin
log bahut roe bilkhe
batane ki koshish ki
ki unke phephDon mein bhi bhari hai vahi hava
jaanch karane ki gujarish bhi ki
par unki ek na suni gai
akhir sinhasan kiski sunta hai.
स्रोत :
रचनाकार : माधव महेश
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.