बेवजह होने वाली घटनाओं की वजह
बेहद गहरी और अवर्णनीय होती है
जैसे इस पृथ्वी ग्रह के बंधन तोड़कर
दृढ़ता से जुड़ा हुआ
हम दोनों का पारलौकिक संबंध
मेरे स्त्रीत्व का आयाम देखो
मुझे तुम्हारी प्रेमिका नहीं
बल्कि उपासिका बनकर रहना था
निश्चित तौर पर
प्रकृति ने हमारे संबंध का लेखा
किसी विस्मृत भाषा में
पहाड़ों और जंगलों में अंकित किया हुआ है
ये आकर्षक है लेकिन बंधनकारी नहीं
तुम्हारी वज्र-सी फुर्तीली
और प्रखर आवाज़ सुनकर
मैं ऐसे ध्यानस्थ हो जाती हूँ
जैसे कोई भिक्षुणी शून्य में चली जाए
और वह क्षण जब तुम मेरे सामने होते हो
किसी बौद्ध मठ की चौखट
चूमने के सामान होता है
वस्तुतः कई बार
आवश्यकता नहीं रह जाती कि तुम सामने रहो
इतना सघन प्रेम कि
तुम्हारी भौतिक उपस्थिति से अधिक सजीव
तुमको देख लेती हूँ
और मेरी इंद्रियाँ प्रतिक्रिया देने लग जाती हैं
ऐसे जादू केवल प्रेम में पैदा होते हैं
और मुझे इनकी सिद्धि प्राप्त है
जीवन का उत्सव है वह स्तुति
जिसमें देवता का ध्यान भी न रहे
और उसके नामों का अजपा जाप
साँसों पर चलता रहे
प्रतिक्षण, प्रतिपल
bevajah hone vali ghatnaon ki vajah
behad gahri aur avarnaniy hoti hai
jaise is prithvi grah ke bandhan toD kar
driDhata se juDa hua
hum donon ka paralaukik sambandh
mere streetv ka ayam dekho
mujhe tumhari premika nahin
balki upasika bankar rahna tha
nishchit taur par
prakrti ne hamare sambandh ka lekha
kisi vismrit bhasha mein
pahaDon aur jangalon mein ankit kiya hua hai
ye akarshak hai lekin bandhankari nahin
tumhari vajr si phurtili aur prakhar avaz sun kar
main aise dhyanasth ho jati hoon
jaise koi bhikshuni shunya mein chali jaye
aur wo kshan jab tum mere samne hote ho
kisi bauddh math ki chaukhat
chumne ke saman hota hai
vastut kai baar
avashyakta nahin rah jati ki tum samne raho
itna saghan prem ki
tumhari bhautik upasthiti se adhik sajiv
tumko dekh leti hoon
aur meri indriyan pratikriya dene lag jati hain
aise jadu keval prem mein paida hote hain
aur mujhe inki “siddhi” praapt hai
jivan ka utsav hai wo istuti
jismen devta ka dhyaan bhi na rahe
aur uske namon ka ajpa jaap
sanson par chalta rahe
pratikshan, pratipal
bevajah hone vali ghatnaon ki vajah
behad gahri aur avarnaniy hoti hai
jaise is prithvi grah ke bandhan toD kar
driDhata se juDa hua
hum donon ka paralaukik sambandh
mere streetv ka ayam dekho
mujhe tumhari premika nahin
balki upasika bankar rahna tha
nishchit taur par
prakrti ne hamare sambandh ka lekha
kisi vismrit bhasha mein
pahaDon aur jangalon mein ankit kiya hua hai
ye akarshak hai lekin bandhankari nahin
tumhari vajr si phurtili aur prakhar avaz sun kar
main aise dhyanasth ho jati hoon
jaise koi bhikshuni shunya mein chali jaye
aur wo kshan jab tum mere samne hote ho
kisi bauddh math ki chaukhat
chumne ke saman hota hai
vastut kai baar
avashyakta nahin rah jati ki tum samne raho
itna saghan prem ki
tumhari bhautik upasthiti se adhik sajiv
tumko dekh leti hoon
aur meri indriyan pratikriya dene lag jati hain
aise jadu keval prem mein paida hote hain
aur mujhe inki “siddhi” praapt hai
jivan ka utsav hai wo istuti
jismen devta ka dhyaan bhi na rahe
aur uske namon ka ajpa jaap
sanson par chalta rahe
pratikshan, pratipal
स्रोत :
रचनाकार : अनुजीत इक़बाल
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.