जैसे दिन के साथ-साथ आती है तीखी धूप
जूतों के साथ कभी-कभार आ जाती है मिट्टी
जैसे बादलों के साथ घरों में आ जाती है सीलन
जैसे ज्वार के साथ-साथ आती हैं मछलियाँ
ठीक वैसे ही
हम पाँच भी इसी तरह आए थे
एक बेटे की इच्छा की प्रक्रिया में
घर में कोई भी माँ को प्यार नहीं करता था
सब एक बेटे की इच्छा को प्यार करते थे
पिता साल भर बाद जब लौटते तो वे भी
बेटे की इच्छा से ही सहवास करते
उनके पास माँ नहीं सोती
बस बेटे की इच्छा ही सोती
हमने बचपन में ही देखा था
कि कैसे एक भरी-पूरी औरत
बड़े जतन से बदल दी जाती है
एक बेटे की इच्छा में
अपनी पहचान को मिटाते हुए।
jaise din ke saath saath aati hai tikhi dhoop
juton ke saath kabhi kabhar aa jati hai mitti
jaise badlon ke saath gharon mein aa jati hai silan
jaise jvaar ke saath saath aati hain machhliyan
theek vaise hi
hum paanch bhi isi tarah aaye the
ek bete ki ichchha ki prakriya men
ghar mein koi bhi maan ko pyaar nahin karta tha
sab ek bete ki ichchha ko pyaar karte the
pita saal bhar baad jab lautte to ve bhi bete ki ichchha se hi sahvas karte
unke paas maan nahin soti, bas bete ki ichchha hi soti
hamne bachpan mein hi dekha tha
ki kaise ek bhari puri aurat
baDe jatan se badal di jati hai
ek bete ki ichchha men
apni pahchan ko mitate hue.

स्रोत :
रचनाकार : शिवम चौबे
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.