main sara jiwan
auron ki banai sharafat ke pul
par chali hoon
pita ki pagDi, bhai ki topi ki khatir
mainne har ek sans unki marzi se li hai
jab bagaDor mere shauhar ke hath mein di gai
tab main chabi wale khilaune ki tarah
uske ishare par hasi aur roi hoon
bachpan mein, jin bhuton se Dara karti thi
ab talaq se Darti hoon
izzat aur sharafat ki maryada ko
mainne libas samajhkar oDha hai
jab wo talaq nam lekar Darata hai, to
khu ko mayushi ke kafan mein lipta hua pati hoon
abba ne dahej mein mujhe qimti jewar diya tha
saut ki tarah uska har laphz
hday par moong dalta hai
mere dahan ka gala ghontkar, jazbon ke khoon mein se
qalam Dubakar bharose ko gaDha gaya hai
mere insan hone, ya na hone ki bahs par
adha insan jante hue, kanun likha gaya hai
meri sochon, khwahishon, jazbon aur umangon ki
khopaDiyon se, samaj ki tamir ki gai hai!