सुफ़ैद नीरव रात की आँख से टपका आँसू है
रंगों के घने जंगल में
अदृश्य नदी की तरह
भाषा के कोलाहल में
अतल मौन-सा
स्वप्न से अधिक सपनीला
पारदर्शी से ज़्यादा पवित्र
सुफ़ैद चाँद है जिसे सोन मछरी निगल गई है
समंदर स्तब्ध है
आकाश अवाक
पृथ्वी घूमते-घूमते थम गई है
सोन मछरी ने मूँद ली हैं आँखें
उसके गर्भ में मोतियों की लड़ें हैं
अजन्मे चाँद को पिरोती हुई
सुफ़ैद बेवजह फिंका हुआ नमक है
अब इसे उठाना होगा
आँख की पुतलियों से
नानी ने टोका था कभी
नमक ज़ाया नहीं करते
नमक का नाम भले स्वाद हो
नमक की क़ीमत सज़ा है
सुफ़ैद वो कफ़न है मैं जिसमें लिपटी हुई हूँ
ये कभी प्रेम-सा रंगीन था
हर रंग एक दिन सुफ़ैद हो जाना है
ये सबसे सुंदर शृंगार है
सबसे मोहक आरज़ू
इसकी गोद में ठंडक है
मैं आजीवन जलती रही हूँ
ख़ुद को खोकर सब पा जाना है सुफ़ैद
तुम इसे अब तक महज़ रंग समझते थे!
sufaid nirav raat ki ankh se tapka ansu hai
rangon ke ghane jangal men
adrishya nadi ki tarah
bhasha ke kolahal men
atal maun sa
svapn se adhik sapnila
paradarshi se zyada pavitra
sufaid chaand hai jise son machhri nigal gai hai
samandar stabdh hai
akash avak
prithvi ghumte ghumte tham gai hai
son machhri ne moond li hain ankhen
uske garbh mein motiyon ki laDen hain
ajanme chaand ko piroti hui
sufaid bevajah phinka hua namak hai
ab ise uthana hoga
ankh ki putaliyon se
nani ne toka tha kabhi
namak zaya nahin karte
namak ka naam bhale svaad ho
namak ki qimat saza hai
sufaid wo kafan hai main jismen lipti hui hoon
ye kabhi prem sa rangin tha
har rang ek din sufaid ho jana hai
ye sabse sundar shringar hai
sabse mohak aarzu
iski god mein thanDak hai
main ajivan jalti rahi hoon
khud ko khokar sab pa jana hai sufaid
tum ise ab tak mahz rang samajhte the!
sufaid nirav raat ki ankh se tapka ansu hai
rangon ke ghane jangal men
adrishya nadi ki tarah
bhasha ke kolahal men
atal maun sa
svapn se adhik sapnila
paradarshi se zyada pavitra
sufaid chaand hai jise son machhri nigal gai hai
samandar stabdh hai
akash avak
prithvi ghumte ghumte tham gai hai
son machhri ne moond li hain ankhen
uske garbh mein motiyon ki laDen hain
ajanme chaand ko piroti hui
sufaid bevajah phinka hua namak hai
ab ise uthana hoga
ankh ki putaliyon se
nani ne toka tha kabhi
namak zaya nahin karte
namak ka naam bhale svaad ho
namak ki qimat saza hai
sufaid wo kafan hai main jismen lipti hui hoon
ye kabhi prem sa rangin tha
har rang ek din sufaid ho jana hai
ye sabse sundar shringar hai
sabse mohak aarzu
iski god mein thanDak hai
main ajivan jalti rahi hoon
khud ko khokar sab pa jana hai sufaid
tum ise ab tak mahz rang samajhte the!
स्रोत :
रचनाकार : श्रुति कुशवाहा
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.