मेरे दिमाग़ में बहुत गहरे कहीं दबी हुई उन सहपाठियों की स्मृति है
जिनकी आक्रामकता का छटाँक भर भी अगर मेरे भीतर होता तो
दुनिया मुझसे बहुत प्यार करती।
वे कोई हिंसा के हितैषी नहीं थे, हत्यारे तो बेशक नहीं।
लेकिन सफलता की एक घूँट के लिए कुछ भी कर गुज़रते
इसमें तनिक भी संदेह इतने बरस बाद भी नहीं होता।
मानव विकास प्रक्रिया की जैविकी के विस्तृत पाठों की मिथ्या चेतना
लिए ही मेरी पीढ़ी का कोई व्यक्ति कविता तक आ सकता है
इसीलिए मेरे सहपाठियों में जो अकेला कवि हुआ वह अभिनेता भी बना।
जीत जाने की ख़्वाहिश नैसर्गिक बगीचे की तरह फैली हुई लगी
जिस तरह परिवार के उजाड़ में,
जिस तरह पटना से दिल्ली तक कविता की गैलरियों में,
मैं जहाँ भी गया अपने सहपाठियों से ही मिलता रहा बार-बार।
जो हारना चाहते थे एक बार कम से कम
भले ही एक व्यर्थ स्वप्न का संधान करते,
किधर गए?
mere dimagh mein bahut gahre kahin dabi hui un sahpathiyon ki smriti hai
jinki akramakta ka chhatank bhar bhi agar mere bhitar hota to
duniya mujhse bahut pyaar karti.
ve koi hinsa ke hitaishi nahin the, hatyare to beshak nahin.
lekin saphalta ki ek ghoont ke liye kuch bhi kar guzarte
ismen tanik bhi sandeh itne baras baad bhi nahin hota.
manav vikas prakriya ki jaiviki ke vistrit pathon ki mithya chetna
liye hi meri piDhi ka koi vyakti kavita tak aa sakta hai
isiliye mere sahpathiyon mein jo akela kavi hua wo abhineta bhi bana.
jeet jane ki khvahish naisargik bagiche ki tarah phaili hui lagi
jis tarah parivar ke ujaaD mein,
jis tarah patna se dilli tak kavita ki gailariyon mein,
main jahan bhi gaya apne sahpathiyon se hi milta raha baar baar.
jo harna chahte the ek baar kam se kam
bhale hi ek vyarth svapn ka sandhan karte,
kidhar ge?

स्रोत :
रचनाकार : अंचित
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.