शोककाल कितना होता है भंते
किसी के आँख से ओझल हो जाने तक
या हृदय से विलुप्त होने जितना
अश्रु के धरती में समाने तक दीर्घ
या कुछ प्रकाश वर्षों सा लघु
ये जीवन से जुड़ा है या जन्मों से आबद्ध
क्या शोक की कोई भाषा होती है
भाषा भूलने पर क्या विलुप्त हो जाता है शोक
अकारण आता है या मुहूर्त देखकर
आनंद उल्लास की क्षणिकता
और शोक की स्थिरता देख
बहुधा ये प्रश्न आ खड़ा होता है
कहीं ये सृष्टि शोक का उत्सव तो नहीं
मेरे जूड़े में सेवंती के फूल सा बंधा है शोक
जिसकी पत्तियाँ कभी झरती नहीं
shokkal kitna hota hai bhante
kisi ke ankh se ojhal ho jane tak
ya hriday se vilupt hone jitna
ashru ke dharti mein samane tak deergh
ya kuch parkash varshon sa laghu
ye jivan se juDa hai ya janmon se abaddh
kya shok ki koi bhasha hoti hai
bhasha bhulne par kya vilupt ho jata hai shok
akaran aata hai ya muhurt dekhkar
anand ullaas ki kshanikta
aur shok ki sthirta dekh
bahudha ye parashn aa khaDa hota hai
kahin ye srishti shok ka utsav to nahin
mere juDe mein sevanti ke phool sa bandha hai shok
jiski pattiyan kabhi jharti nahin
shokkal kitna hota hai bhante
kisi ke ankh se ojhal ho jane tak
ya hriday se vilupt hone jitna
ashru ke dharti mein samane tak deergh
ya kuch parkash varshon sa laghu
ye jivan se juDa hai ya janmon se abaddh
kya shok ki koi bhasha hoti hai
bhasha bhulne par kya vilupt ho jata hai shok
akaran aata hai ya muhurt dekhkar
anand ullaas ki kshanikta
aur shok ki sthirta dekh
bahudha ye parashn aa khaDa hota hai
kahin ye srishti shok ka utsav to nahin
mere juDe mein sevanti ke phool sa bandha hai shok
jiski pattiyan kabhi jharti nahin
स्रोत :
रचनाकार : श्रुति कुशवाहा
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.