हर बार ठगी जाने के बाद भी
लौट आती हूँ तुममें
अपनी नादानियों के साथ
लौट आती हूँ
कविताओं में
फूलों में
और
नदी के किनारे
मुझे तुम बेहद पसंद हो
पर मैं
मुझे पता नहीं
मैं हर बार ख़्वाबों में
उगा लेती हूँ
घास का मैदान
तुम्हारे साथ टहलने के लिए
पर अक्सर तुम
रौंदते हुए चले जाते हो
कई बार कोमल हरी घास को
तुम उखाड़ फेंकते हो
माटी समेत
और मैं
फिर रोप लेती हूँ उन घासों को
उम्मीद की मिट्टी और
विश्वास का खाद डाल
उगा लेती हूँ
समय की क्यारियाँ
और तुम
पता नहीं क्यों
चिढ़ते हो हरियाली देख
मसलने लगते हो
फूलों को
और बड़ी बेरहमी से
कत्लकर बैठते हो
मेरे शब्दों की
पर तुम्हें पता नहीं
मेरे शब्द देह नहीं
बल्कि दरख़्त हैं
har baar thagi jane ke baad bhi
laut aati hoon tummen
apni nadaniyon ke saath
laut aati hoon
kavitaon men
phulon men
aur
nadi ke kinare
mujhe tum behad pasand ho
par main
mujhe pata nahin
main har baar khvabon mein
uga leti hoon
ghaas ka maidan
tumhare saath tahalne ke liye
par aksar tum
raundte hue chale jate ho
kai baar komal hari ghaas ko
tum ukhaaD phenkte ho
mati samet
aur main
phir rop leti hoon un ghason ko
ummid ki mitti aur
vishvas ka khaad Daal
uga leti hoon
samay ki kyariyan
aur tum
pata nahin kyon
chiDhte ho hariyali dekh
masalne lagte ho
phulon ko
aur baDi berahmi se
katlkar baithte ho
mere shabdon ki
par tumhein pata nahin
mere shabd deh nahin
balki darakht hain
har baar thagi jane ke baad bhi
laut aati hoon tummen
apni nadaniyon ke saath
laut aati hoon
kavitaon men
phulon men
aur
nadi ke kinare
mujhe tum behad pasand ho
par main
mujhe pata nahin
main har baar khvabon mein
uga leti hoon
ghaas ka maidan
tumhare saath tahalne ke liye
par aksar tum
raundte hue chale jate ho
kai baar komal hari ghaas ko
tum ukhaaD phenkte ho
mati samet
aur main
phir rop leti hoon un ghason ko
ummid ki mitti aur
vishvas ka khaad Daal
uga leti hoon
samay ki kyariyan
aur tum
pata nahin kyon
chiDhte ho hariyali dekh
masalne lagte ho
phulon ko
aur baDi berahmi se
katlkar baithte ho
mere shabdon ki
par tumhein pata nahin
mere shabd deh nahin
balki darakht hain
स्रोत :
रचनाकार : मधु सिंह
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.