मैं हलीम तृतीय हूँ, महान् और पवित्र,
सुल्तानों का सुल्तान;
मेरे गौर हाथों से शुरू होते हैं दिन
मेरी रियाया के
मेरा उठना मात्र ही
अज्ञात कुमारियों तक मेरी उद्दीप्ति पहुँचा देता है
मैं समय का बोध करता हूँ
अपने ही नैरंतर्य से
अखिल ब्रह्माण्ड की समस्त दिशाएँ प्रसारित हैं
मेरे ही तन की परिधि तक
और मेरे तमाम स्थल सुखद हैं
मेरे ही तन से
मैंने ही उक़ाबों के साथ
आज़ाद कर दिया है विज्ञान, कविता और विजय अभियानों को
ताकि आने वाली पीढ़ियाँ सुखी हों
समुद्रों पर ज़मीन पर
आसमान बाअदब हैं मेरे ऊपर छाए हुए
गहरे और नीले
मेरा प्यार और रक्त दो अनंतताओं की भाँति
परस्पर समान हैं
जहाँ तक गुंजायश है अक़्ल की
भद्र, सुंदर, स्वस्थ और परम हूँ मैं
हलीम तृतीय—
और तुम कौन हो, ओ पर्वत ओ चट्टानों?
main halim tritiy hoon, mahan aur pavitra,
sultanon ka sultan;
mere gaur hathon se shuru hote hain din
meri riyaya ke
mera uthna maatr hi
agyat kumariyon tak meri uddipti pahuncha deta hai
main samay ka bodh karta hoon
apne hi nairantarya se
akhil brahmanD ki samast dishayen prasarit hain
mere hi tan ki paridhi tak
aur mere tamam sthal sukhad hain
mere hi tan se
mainne hi uqabon ke saath
azad kar diya hai vigyan, kavita aur vijay abhiyanon ko
taki aane vali piDhiyan sukhi hon
samudron par zamin par
asman baadab hain mere uupar chhaye hue
gahre aur nile
mera pyaar aur rakt do ananttaon ki bhanti
paraspar saman hain
jahan tak gunjayash hai aql ki
bhadr, sundar, svasth aur param hoon main
halim tritiy—
aur tum kaun ho, o parvat o chattanon?
main halim tritiy hoon, mahan aur pavitra,
sultanon ka sultan;
mere gaur hathon se shuru hote hain din
meri riyaya ke
mera uthna maatr hi
agyat kumariyon tak meri uddipti pahuncha deta hai
main samay ka bodh karta hoon
apne hi nairantarya se
akhil brahmanD ki samast dishayen prasarit hain
mere hi tan ki paridhi tak
aur mere tamam sthal sukhad hain
mere hi tan se
mainne hi uqabon ke saath
azad kar diya hai vigyan, kavita aur vijay abhiyanon ko
taki aane vali piDhiyan sukhi hon
samudron par zamin par
asman baadab hain mere uupar chhaye hue
gahre aur nile
mera pyaar aur rakt do ananttaon ki bhanti
paraspar saman hain
jahan tak gunjayash hai aql ki
bhadr, sundar, svasth aur param hoon main
halim tritiy—
aur tum kaun ho, o parvat o chattanon?
स्रोत :
पुस्तक : देशान्तर (पृष्ठ 249)
संपादक : धर्मवीर भारती
रचनाकार : फ़ाज़िल हुस्नू दालारजा
प्रकाशन : भारतीय ज्ञानपीठ, काशी
संस्करण : 1960
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.