वे अपना लिबास बदल सकते हैं
पर विचार नहीं
उनकी लाठी में
आ गया है बल
उनके सपने
सार्वजानिक हो गए हैं
उनके बुद्धिजीवियों में
आ गया है साहस
वे लौट आए हैं किताबों में
वे अपना रंग अब छिपाते नहीं
उन्हें विश्वास हो गया है
हवा भी उनके ध्वज के साथ है
उनके लिए प्रश्नों के उत्तर देना ज़रूरी नहीं
उनके लिए दरिद्रता के ख़िलाफ़ लड़ना ज़रूरी नहीं
उनके लिए प्रेम करना भी ज़रूरी नहीं
उनके सरोकार उस अतीत के साथ हैं
जो बदरंग हो चुका है
वे कहते हैं
हम लड़ेंगे
हम जिएँगे
अपने ही रंग के सम्मोहन में
अब हमें कोई डरा नहीं सकता
हमने रच डाली है
देश के लिए नई वर्णमाला
हाय!
मैंने यह क्या लिख डाला
मैंने तो ज़रा सा साहस अर्जित करके
सिर्फ़ इतना पूछा था
महाशय!
आपके पतलून की
राष्ट्रीयता क्या है?
ve apna libas badal sakte hain
par vichar nahin
unki lathi mein
aa gaya hai bal
unke sapne
sarvjanik ho gaye hain
unke buddhijiviyon mein
aa gaya hai sahas
ve laut aaye hain kitabon mein
ve apna rang ab chhipate nahin
unhen vishvas ho gaya hai
hava bhi unke dhvaj ke saath hai
unke liye prashnon ke uttar dena zaruri nahin
unke liye daridrata ke khilaf laDna zaruri nahin
unke liye prem karna bhi zaruri nahin
unke sarokar us atit ke saath hain
jo badrang ho chuka hai
ve kahte hain
hum laDenge
hum jiyenge
apne hi rang ke sammohan mein
ab hamein koi Dara nahin sakta
hamne rach Dali hai
desh ke liye nai varnamala
haay!
mainne ye kya likh Dala
mainne to zara sa sahas arjit karke
sirf itna puchha tha
mahashay!
aapke patlun ki
rashtriyata kya hai?
ve apna libas badal sakte hain
par vichar nahin
unki lathi mein
aa gaya hai bal
unke sapne
sarvjanik ho gaye hain
unke buddhijiviyon mein
aa gaya hai sahas
ve laut aaye hain kitabon mein
ve apna rang ab chhipate nahin
unhen vishvas ho gaya hai
hava bhi unke dhvaj ke saath hai
unke liye prashnon ke uttar dena zaruri nahin
unke liye daridrata ke khilaf laDna zaruri nahin
unke liye prem karna bhi zaruri nahin
unke sarokar us atit ke saath hain
jo badrang ho chuka hai
ve kahte hain
hum laDenge
hum jiyenge
apne hi rang ke sammohan mein
ab hamein koi Dara nahin sakta
hamne rach Dali hai
desh ke liye nai varnamala
haay!
mainne ye kya likh Dala
mainne to zara sa sahas arjit karke
sirf itna puchha tha
mahashay!
aapke patlun ki
rashtriyata kya hai?
स्रोत :
रचनाकार : महाराज कृष्ण संतोषी
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.