वे कुछ शब्द रचते हैं
और हवा में उछाल देते हैं
वे कुछ मुद्राएँ गढ़ते हैं
और ज़मीन पर उतार देते हैं
वे शब्द और मुद्राओं की
युगलबंदी में दक्ष हैं
वे अच्छी तरह जानते हैं
कब और कहाँ किस शब्द को
हवा में उछालना है
वे अच्छी तरह जानते हैं
कब और कहाँ किस मुद्रा को
ज़मीन पर उतारना है
वे हवा के रुख़
और ज़मीन के मिज़ाज को
तुरत पहचान लेते हैं
हम उनके शब्द पकड़ते हैं
और चारों खाने चित्त हो जाते हैं
हम उनकी मुद्राएँ निहारते हैं
और तुरत धराशाई हो जाते हैं
हम बेवकूफ़ मछलियाँ हैं
वे हैं शातिर मछुआरे
हम उनके शब्द और मुद्राओं के आटा लगे
झूठ और धूर्तता के काँटे को निगलने की कोशिश में
हमेशा मारे जाते हैं
ve kuch shabd rachte hain
aur hava mein uchhaal dete hain
ve kuch mudrayen gaDhte hain
aur zamin par utaar dete hain
ve shabd aur mudraon ki
yugalbandi mein daksh hain
ve achchhi tarah jante hain
kab aur kahan kis shabd ko
hava mein uchhalna hai
ve achchhi tarah jante hain
kab aur kahan kis mudra ko
zamin par utarna hai
ve hava ke rukh
aur zamin ke mizaj ko
turat pahchan lete hain
hum unke shabd pakaDte hain
aur charon khane chitt ho jate hain
hum unki mudrayen niharte hain
aur turat dharashai ho jate hain
hum bevakuf machhliyan hain
ve hain shatir machhuare
hum unke shabd aur mudraon ke aata lage
jhooth aur dhurtata ke kante ko nigalne ki koshish men
hamesha mare jate hain
ve kuch shabd rachte hain
aur hava mein uchhaal dete hain
ve kuch mudrayen gaDhte hain
aur zamin par utaar dete hain
ve shabd aur mudraon ki
yugalbandi mein daksh hain
ve achchhi tarah jante hain
kab aur kahan kis shabd ko
hava mein uchhalna hai
ve achchhi tarah jante hain
kab aur kahan kis mudra ko
zamin par utarna hai
ve hava ke rukh
aur zamin ke mizaj ko
turat pahchan lete hain
hum unke shabd pakaDte hain
aur charon khane chitt ho jate hain
hum unki mudrayen niharte hain
aur turat dharashai ho jate hain
hum bevakuf machhliyan hain
ve hain shatir machhuare
hum unke shabd aur mudraon ke aata lage
jhooth aur dhurtata ke kante ko nigalne ki koshish men
hamesha mare jate hain
स्रोत :
रचनाकार : कुंदन सिद्धार्थ
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.