प्रतीक्षा करो
बीज से वृक्ष होने तक
वृक्ष से बीज होने तक
तुम प्रफुल्लित होते हो
बीज से वृक्ष तक
कभी तुम वृक्ष हो जाते हो
कभी वृक्ष तुम
घटित होता है
बदलता है
यह सब निरंतर
बीज से वृक्ष तक
वृक्ष से मनुष्य तक
मनुष्य से आकाश तक
प्रतीक्षा करो।
pratiksha karo
beej se wriksh hone tak
wriksh se beej hone tak
tum praphullit hote ho
beej se wriksh tak
kabhi tum wriksh ho jate ho
kabhi wriksh tum
ghatit hota hai
badalta hai
ye sab nirantar
beej se wriksh tak
wriksh se manushya tak
manushya se akash tak
pratiksha karo
59
ek pakshi
tere aane ke baad
ek pakshi
mere andar
ghonsla banata
gahraiyon mein kho jata
tere jane ke baad ek pakshi
khule akashon mein uDta
ukab ki bhanti
antrikshon ko chirta
aur kho jata
pratiksha karo
beej se wriksh hone tak
wriksh se beej hone tak
tum praphullit hote ho
beej se wriksh tak
kabhi tum wriksh ho jate ho
kabhi wriksh tum
ghatit hota hai
badalta hai
ye sab nirantar
beej se wriksh tak
wriksh se manushya tak
manushya se akash tak
pratiksha karo
59
ek pakshi
tere aane ke baad
ek pakshi
mere andar
ghonsla banata
gahraiyon mein kho jata
tere jane ke baad ek pakshi
khule akashon mein uDta
ukab ki bhanti
antrikshon ko chirta
aur kho jata
स्रोत :
पुस्तक : साथ चलते हुए (पृष्ठ 55)
रचनाकार : सुतिंदर सिंह नूर
प्रकाशन : टवेंटी फस्ट सेंचूरी पब्लिकेशन
संस्करण : 2005
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.