यह प्रकाश की वजह से ही है
कि हमारी विविध दुनिया
अपना सौंदर्य और रंग जताती है
और हमारी ज़िंदगियाँ अधिक आकर्षक लगती हैं।
प्रकाश हमें अंतर्दृष्टि देता है,
प्रकाश हमें कल्पना देता है,
प्रकाश हमें संवेग देता है।
प्रकाश अमर प्रतिभाओं की रचना करता है।
वास्तु स्मारक कितने शानदार हैं।
भीतर और भी आलीशान।
हमें गहरे बहा ले जाने वाली कविताएँ
उन्हें कौन पढ़ सकता है, बिना आँसू बहाए?
ये आश्चर्यजनक बुत तराश
ठंडे संगमरमर को गर्मी देने वाले।
वे प्रातिभ चित्रकार
जीवन-भावना से ओतप्रोत सम्मोहक आँखें खींचने वाले।
हवा से भी अधिक हल्के नृत्य,
मोती से भी अधिक झिलमिल गाने,
आग्नेय उत्साह, हीरे की ठोस भक्ति
सभी कलाएँ, प्रकाश के बिना, निर्जीव होती हैं।
ye parkash ki vajah se hi hai
ki hamari vividh duniya
apna saundarya aur rang jatati hai
aur hamari zindagiyan adhik akarshak lagti hain.
parkash hamein antardrishti deta hai,
parkash hamein kalpana deta hai,
parkash hamein sanveg deta hai.
parkash amar pratibhaon ki rachna karta hai.
vastu smarak kitne shanadar hain.
bhitar aur bhi alishan.
hamein gahre baha le jane vali kavitayen
unhen kaun paDh sakta hai, bina ansu bahaye?
ye ashcharyajnak but tarash
thanDe sangamarmar ko garmi dene vale.
ve pratibh chitrkar
jivan bhavna se otaprot sammohak ankhen khinchne vale.
hava se bhi adhik halke nritya,
moti se bhi adhik jhilmil gane,
agney utsaah, hire ki thos bhakti
sabhi kalayen, parkash ke bina, nirjiv hoti hain.
ye parkash ki vajah se hi hai
ki hamari vividh duniya
apna saundarya aur rang jatati hai
aur hamari zindagiyan adhik akarshak lagti hain.
parkash hamein antardrishti deta hai,
parkash hamein kalpana deta hai,
parkash hamein sanveg deta hai.
parkash amar pratibhaon ki rachna karta hai.
vastu smarak kitne shanadar hain.
bhitar aur bhi alishan.
hamein gahre baha le jane vali kavitayen
unhen kaun paDh sakta hai, bina ansu bahaye?
ye ashcharyajnak but tarash
thanDe sangamarmar ko garmi dene vale.
ve pratibh chitrkar
jivan bhavna se otaprot sammohak ankhen khinchne vale.
hava se bhi adhik halke nritya,
moti se bhi adhik jhilmil gane,
agney utsaah, hire ki thos bhakti
sabhi kalayen, parkash ke bina, nirjiv hoti hain.
स्रोत :
पुस्तक : सूखी नदी पर ख़ाली नाव (पृष्ठ 167)
संपादक : वंशी माहेश्वरी
रचनाकार : आई छिंग
प्रकाशन : संभावना प्रकाशन
संस्करण : 2020
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.