पहाड़!
झेलते हैं अपने सीने पर
सूरज की तपन
सर्दी की ठिठुरन
पहाड़ का मस्तक चूमकर
धरती पर बिखर जाते हैं मौसम
पहाड़ से गले मिलकर
फूट-फूटकर रो पड़ते हैं बादल
चूर-चूर हो जाता है पहाड़ से टकराकर
समुद्र की विकराल लहरों का गर्व
ढेरों रहस्यों से भरा पहाड़
अपनी ही छाती से देता है
अपने सिर तक जाने का रास्ता
नदी के गुस्सा होते ही
भीमकाय मुट्ठी में फँसे जीवन को
एक ही गल्ले में गटक गया पहाड़
मौन बैठे केदारनाथ
देखते रहे मौत का तांड़व
पहाड़ होना
अड़िग होना है अपनी निष्ठा पर।
pahaD!
jhelte hain apne sine par
suraj ki tapan
sardi ki thithuran
pahaD ka mastak chumkar
dharti par bikhar jate hain mausam
pahaD se gale milkar
phoot phutkar ro paDte hain badal
choor choor ho jata hai pahaD se takrakar
samudr ki vikral lahron ka garv
Dheron rahasyon se bhara pahaD
apni hi chhati se deta hai
apne sir tak jane ka rasta
nadi ke gussa hote hi
bhimakay mutthi mein phanse jivan ko
ek hi galle mein gatak gaya pahaD
maun baithe kedaranath
dekhte rahe maut ka tanDav
pahaD hona
aDig hona hai apni nishtha par.
pahaD!
jhelte hain apne sine par
suraj ki tapan
sardi ki thithuran
pahaD ka mastak chumkar
dharti par bikhar jate hain mausam
pahaD se gale milkar
phoot phutkar ro paDte hain badal
choor choor ho jata hai pahaD se takrakar
samudr ki vikral lahron ka garv
Dheron rahasyon se bhara pahaD
apni hi chhati se deta hai
apne sir tak jane ka rasta
nadi ke gussa hote hi
bhimakay mutthi mein phanse jivan ko
ek hi galle mein gatak gaya pahaD
maun baithe kedaranath
dekhte rahe maut ka tanDav
pahaD hona
aDig hona hai apni nishtha par.
स्रोत :
रचनाकार : रमेश प्रजापति
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.