जब तुम गईं
मैं भी चला गया तुम्हारे साथ
मेरा नाम तुम्हारे साथ चिता में जलकर राख हो गया
तुम्हारी अस्थियों के साथ मेरी पुकार गंगा में बहा दी गई
अब मुझे कौन पुकारेगा
कौन पुचकारेगा
कौन गले लगाएगा
किसकी छाती में इतना प्रेम बचा है
जो मुझे तुम्हारा आलिंगन दे सकेगा
मैंने तुम्हारा आलिंगन
चिता से उठती लपटों के साथ जल जाने दिया
तुम जल रही थीं
सबको उस लपट की गर्मी महसूस हो रही थी
और मुझे उस लपट में तुम्हारे आलिंगन की
तुम गईं
मेरा संबोधन लेकर चली गईं
मेरा, एक जीवन लेकर चली गईं
मेरे पास क्या बचा
तुम्हारी स्मृतियाँ
वे भी उतनी जितनी जलती चिता से मैंने खीच ली थीं
ख़ैर,
स्मृतियाँ भी कहाँ नई रहती हैं
jab tum gain
main bhi chala gaya tumhare sath
mera nam tumhare sath chita mein jalkar rakh ho gaya
tumhari asthiyon ke sath meri pukar ganga mein baha di gai
ab mujhe kaun pukarega
kaun puchkarega
kaun gale lagayega
kiski chhati mein itna prem bacha hai
jo mujhe tumhara alingan de sakega
mainne tumhara alingan
chita se uthti lapton ke sath jal jane diya
tum jal rahi theen
sabko us lapat ki garmi mahsus ho rahi thi
aur mujhe us lapat mein tumhare alingan ki
tum gain
mera sambodhan lekar chali gain
mera, ek jiwan lekar chali gain
mere pas kya bacha
tumhari smritiyan
we bhi utni jitni jalti chita se mainne kheech li theen
khair,
smritiyan bhi kahan nai rahti hain
jab tum gain
main bhi chala gaya tumhare sath
mera nam tumhare sath chita mein jalkar rakh ho gaya
tumhari asthiyon ke sath meri pukar ganga mein baha di gai
ab mujhe kaun pukarega
kaun puchkarega
kaun gale lagayega
kiski chhati mein itna prem bacha hai
jo mujhe tumhara alingan de sakega
mainne tumhara alingan
chita se uthti lapton ke sath jal jane diya
tum jal rahi theen
sabko us lapat ki garmi mahsus ho rahi thi
aur mujhe us lapat mein tumhare alingan ki
tum gain
mera sambodhan lekar chali gain
mera, ek jiwan lekar chali gain
mere pas kya bacha
tumhari smritiyan
we bhi utni jitni jalti chita se mainne kheech li theen
khair,
smritiyan bhi kahan nai rahti hain
स्रोत :
रचनाकार : अनुभव
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.