मेरे दोस्त
ख़तरा है घोड़े की पिछाड़ी से
गाय और बैल की अगाड़ी से
किंतु एक मूरख से
सारे दृष्टिकोणों से
ऊपर से नीचे तक
ख़तरा ही ख़तरा है
जब कभी किसी मूरख को
ऐसी जगह पर बिठा दिया जाता है
जहाँ अधिकार था
किसी समझदार का
तेज़ से तेज़ आँख को
मूरख की असलियत
जल्दी ही जान लेना बहुत कठिन होता है
मूरख कुछ समय को वाक्-पटु
और सभ्य बन सकता है
पुरानी पशुता को
बिल्कुल छोड़ सकता है
अच्छा लिख सकता है
और बोल सकता है
सचमुच प्रभावशाली गूँगा बन सकता है
मेरे दोस्त
एक मूरख अकेला ही
केवल एक पल में
कर सकता है गड़बड़ी इतनी
जिसको बुद्धि बल से
या कि निज धीरज से
ठीक-ठाक करने में होंगे लाचार
आदमी हज़ार
किंतु हम यहाँ
सामान्य-नियम का उल्लेख करते हैं
ताकि बुद्धिमान उसका अनुगमन करें
मूरख से डरने के कितने ही कारण हैं
किंतु एक मूरख मज़ाक़ से डरता है।
mere dost
khatra hai ghoDe ki pichhaDi se
gaay aur bail ki agaDi se
kintu ek murakh se
sare drishtikonon se
uupar se niche tak
khatra hi khatra hai
jab kabhi kisi murakh ko
aisi jagah par bitha diya jata hai
jahan adhikar tha
kisi samajhdar ka
tez se tez ankh ko
murakh ki asliyat
jaldi hi jaan lena bahut kathin hota hai
murakh kuch samay ko vaak patu
aur sabhya ban sakta hai
purani pashuta ko
bilkul chhoD sakta hai
achchha likh sakta hai
aur bol sakta hai
sachmuch prabhavashali gunga ban sakta hai
mere dost
ek murakh akela hi
keval ek pal men
kar sakta hai gaDbaDi itni
jisko buddhi bal se
ya ki nij dhiraj se
theek thaak karne mein honge lachar
adami hazar
kintu hum yahan
samanya niyam ka ullekh karte hain
taki buddhiman uska anugman karen
murakh se Darne ke kitne hi karan hain
kintu ek murakh mazaq se Darta hai
mere dost
khatra hai ghoDe ki pichhaDi se
gaay aur bail ki agaDi se
kintu ek murakh se
sare drishtikonon se
uupar se niche tak
khatra hi khatra hai
jab kabhi kisi murakh ko
aisi jagah par bitha diya jata hai
jahan adhikar tha
kisi samajhdar ka
tez se tez ankh ko
murakh ki asliyat
jaldi hi jaan lena bahut kathin hota hai
murakh kuch samay ko vaak patu
aur sabhya ban sakta hai
purani pashuta ko
bilkul chhoD sakta hai
achchha likh sakta hai
aur bol sakta hai
sachmuch prabhavashali gunga ban sakta hai
mere dost
ek murakh akela hi
keval ek pal men
kar sakta hai gaDbaDi itni
jisko buddhi bal se
ya ki nij dhiraj se
theek thaak karne mein honge lachar
adami hazar
kintu hum yahan
samanya niyam ka ullekh karte hain
taki buddhiman uska anugman karen
murakh se Darne ke kitne hi karan hain
kintu ek murakh mazaq se Darta hai
स्रोत :
पुस्तक : एक सौ एक सोवियत कविताएँ (पृष्ठ 204)
रचनाकार : सेर्गेई मिख्लकोव
प्रकाशन : नेशनल पब्लिशिंग हाउस, दिल्ली
संस्करण : 1975
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.