मुझे क्षितिज पसंद है
क्योंकि
वहीं,
सिर्फ़ वहीं,
ज्ञान-विज्ञान के समाज से दूर
चिर-प्रतीक्षित धरती
मिलती है आकाश से।
मैं कभी क्षितिज तक नहीं पहुँच पाया।
मुझे सूरज पसंद है;
क्योंकि
सिर्फ़ उसी के ताप से
नदियों-सागरों का पानी
मिल पाता है
भटकते हुए बादलों से।
मैं कभी सूरज तक भी नहीं पहुँच पाऊँगा।
मुझे तुम भी पसंद हो;
क्योंकि
सिर्फ़ तुम्हारे कारण
मैं ख़ुद तक पहुँच पाया,
अपने अंतर्मन की तह
तक पहुँच पाया,
सिर्फ़ तुम्हारे कारण।
पर
मैं तुम तक भी नहीं पहुँच पाया।
क्षितिज को देख
मैं आनंद से भर जाता हूँ।
मेरे लिए अब तुम भी वैसी ही हो।
सूरज को देख
मेरी आँखें झुक जाती हैं।
मेरे लिए अब तुम भी वैसी ही हो।
अब शांत मन से,
कुछ दूर से
मैं क्षितिज और सूरज को देखता हूँ,
मेरे लिए अब तुम भी वैसी हो।
mujhe kshitij pasand hai
kyonki
vahin,
sirf vahin,
gyaan vigyan ke samaj se door
chir prtikshit dharti
milti hai akash se.
main kabhi kshitij tak nahin pahunch paya.
mujhe suraj pasand hai;
kyonki
sirf usi ke taap se
nadiyon sagron ka pani
mil pata hai
bhatakte hue badlon se.
main kabhi suraj tak bhi nahin pahunch paunga.
mujhe tum bhi pasand ho;
kyonki
sirf tumhare karan
main khud tak pahunch paya,
apne antarman ki tah
tak pahunch paya,
sirf tumhare karan.
par
main tum tak bhi nahin pahunch paya.
kshitij ko dekh
main anand se bhar jata hoon.
mere liye ab tum bhi vaisi hi ho.
suraj ko dekh
meri ankhen jhuk jati hain.
mere liye ab tum bhi vaisi hi ho.
ab shaant man se,
kuch door se
main kshitij aur suraj ko dekhta hoon,
mere liye ab tum bhi vaisi ho.
mujhe kshitij pasand hai
kyonki
vahin,
sirf vahin,
gyaan vigyan ke samaj se door
chir prtikshit dharti
milti hai akash se.
main kabhi kshitij tak nahin pahunch paya.
mujhe suraj pasand hai;
kyonki
sirf usi ke taap se
nadiyon sagron ka pani
mil pata hai
bhatakte hue badlon se.
main kabhi suraj tak bhi nahin pahunch paunga.
mujhe tum bhi pasand ho;
kyonki
sirf tumhare karan
main khud tak pahunch paya,
apne antarman ki tah
tak pahunch paya,
sirf tumhare karan.
par
main tum tak bhi nahin pahunch paya.
kshitij ko dekh
main anand se bhar jata hoon.
mere liye ab tum bhi vaisi hi ho.
suraj ko dekh
meri ankhen jhuk jati hain.
mere liye ab tum bhi vaisi hi ho.
ab shaant man se,
kuch door se
main kshitij aur suraj ko dekhta hoon,
mere liye ab tum bhi vaisi ho.
स्रोत :
रचनाकार : जयंत शुक्ला
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.