पक रहे हैं मेरे शब्द,
झरबेरी में
बाजरे की जड़ों में
धान की बालियों में
चूल्हे की कोख में
बच्चे की आँखों में
चहक रहे हैं मेरे शब्द,
काँस की झाड़ियों में
बाँसों के झुरमुट में
आँगन के पेड़ पर
गाँव की गलियों में
और लड़कियों की चुहलों में
पूस की अँधियारी रात में
ठिठुरती झोंपड़ी में
घर की चिंता में डूबे
गुड़गुड़ाते हैं हुक्का
और लुहार के हथौड़े से
ढल रहे हैं औज़ारों में
भविष्य को करने सुरक्षित
समय की चाक पर
कुम्हार के हाथों से शब्द
बदल रहे हैं दीयों में
अँधेरे के खि़लाफ़ लड़ने
गुनगुना रहे हैं मेरे शब्द
दूध बिलोती माँ की हाँड़ी में
मेरे शब्द,
एक दिन उड़ जाएँगे
मुक्त गगन में
अहसास के पंछी बनकर
बरसों तक हवा में गमकती रहेगी
उनकी जानी-पहचानी सुगबुगाहट।
pak rahe hain mere shabd,
jharberi men
bajre ki jaDon men
dhaan ki baliyon men
chulhe ki kokh men
bachche ki ankhon mein
chahak rahe hain mere shabd,
kaans ki jhaDiyon mein
banson ke jhurmut men
angan ke peD par
gaanv ki galiyon men
aur laDakiyon ki chuhlon men
poos ki andhiyari raat men
thithurti jhopDi mein
ghar ki chinta mein Dube
guDaguDate hain hukka
aur luhar ke hathauDe se
Dhal rahe hain auzaron men
bhavishya ko karne surakshit
samay ki chaak par
kumhar ke hathon se shabd
badal rahe hain diyon men
andhere ke khilaf laDne
gunguna rahe hain mere shabd
doodh biloti maan ki hanDi men
mere shabd,
ek din uD jayenge
mukt gagan men
ahsas ke panchhi bankar
barson tak hava mein gamakti rahegi
unki jani pahchani sugbugahat.
pak rahe hain mere shabd,
jharberi men
bajre ki jaDon men
dhaan ki baliyon men
chulhe ki kokh men
bachche ki ankhon mein
chahak rahe hain mere shabd,
kaans ki jhaDiyon mein
banson ke jhurmut men
angan ke peD par
gaanv ki galiyon men
aur laDakiyon ki chuhlon men
poos ki andhiyari raat men
thithurti jhopDi mein
ghar ki chinta mein Dube
guDaguDate hain hukka
aur luhar ke hathauDe se
Dhal rahe hain auzaron men
bhavishya ko karne surakshit
samay ki chaak par
kumhar ke hathon se shabd
badal rahe hain diyon men
andhere ke khilaf laDne
gunguna rahe hain mere shabd
doodh biloti maan ki hanDi men
mere shabd,
ek din uD jayenge
mukt gagan men
ahsas ke panchhi bankar
barson tak hava mein gamakti rahegi
unki jani pahchani sugbugahat.
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.