मसख़रा उदास है
उसे कहा जा रहा है
पहले हँसने हँसाने के नियम जान लीजिए
मसख़रा उदास है
उसे कहा जा रहा है
जो जीवन में
सफल है
सक्षम है
वे सारे देशभक्त हैं
उन पर कभी मत हँसिए
मसख़रा उदास है
उसे कहा जा रहा है
हँसना है
तो स्वयं पर हँसिए
और जो यहाँ जी रहे
जीवन असफल
उन पर हँसिए
पर हमेशा सचेत रहिए
और पहले यह सोचिए
क्यों हँस रहे हो
किनके कहने पर हँस रहे हो
किनके लिए हँसाने का
इतना बड़ा जोखम उठा रहे हो
मसख़रा हँसता है
आईने के सामने
उसे अपनी हँसी में
कोई खोट नहीं
केवल देशभक्ति दिखाई देती है
वह पूछता है
अपने प्रतिबिंब से
क्या मेरा हँसना
देशहित में नहीं है।
maskhara udaas hai
use kaha ja raha hai
pahle hansne hansane ke niyam jaan lijiye
masakhra udaas hai
use kaha ja raha hai
jo jivan mein
saphal hai
saksham hai
ve sare desh bhakt hain
un par kabhi mat hansiye
maskhara udaas hai
use kaha ja raha hai
hansna hai
to svayan par hansiye
aur jo yahan ji rahe
jivan asaphal
un par hansiye
par hamesha sachet rahiye
aur pahle ye sochiye
kyon hans rahen ho
kin ke kahne par hans rahe ho
kinke liye hansane ka
itna baDa jokhim utha rahe ho
maskhara hansta hai
aine ke samne
use apni hansi mein
koi khot nahin
keval desh bhakti dikhai deti hai
wo puchhta hai
apne pratibimb se
kya mera hansna
deshhit mein nahin hai.
maskhara udaas hai
use kaha ja raha hai
pahle hansne hansane ke niyam jaan lijiye
masakhra udaas hai
use kaha ja raha hai
jo jivan mein
saphal hai
saksham hai
ve sare desh bhakt hain
un par kabhi mat hansiye
maskhara udaas hai
use kaha ja raha hai
hansna hai
to svayan par hansiye
aur jo yahan ji rahe
jivan asaphal
un par hansiye
par hamesha sachet rahiye
aur pahle ye sochiye
kyon hans rahen ho
kin ke kahne par hans rahe ho
kinke liye hansane ka
itna baDa jokhim utha rahe ho
maskhara hansta hai
aine ke samne
use apni hansi mein
koi khot nahin
keval desh bhakti dikhai deti hai
wo puchhta hai
apne pratibimb se
kya mera hansna
deshhit mein nahin hai.
स्रोत :
रचनाकार : महाराज कृष्ण संतोषी
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.