कालनदी हजारा की मेरी कविताएँ
गोले बारूद से लैस
मार्च करने के लिए तैयार
फ़िटनेस के इंतज़ार में
जल्द से जल्द
मुज़फ़्फ़रपुर पहुँचने के लिए
जेल तोड़कर
बलात्कारी शातिरों को मौत के घाट उतारने के लिए
सिर्फ़ बिहार बंद में शामिल होने के लिए ही नहीं
बिहार सरकार को उलटते हुए
असम पहुँच जाने के लिए
चालीस लाख लोगों की पंक्ति में शामिल होते हुए
साढ़े छप्पन इंच का सीना ताने
मानव-सभ्यता के परचम को बुलंद करते हुए
मोदी-शाह की सत्ता को परास्त करते हुए
दिल्ली दरबार को मौत का निमंत्रण देते हुए
भारत-पाक सीमा पर पहुँच जाने के लिए
अपने कश्मीरियों को नई लाल सुबह दिलाते हुए
दुनिया भर के मेहनतकश अवाम को फिर-फिर जीत दिलाने के लिए
फ़िटनेस का इंतज़ार में ठहरी हुई
अब इंतज़ार नहीं करेंगी
मेरी कविताएँ
गिरते पड़ते हुए लड़ेंगी
फ़िटनेस का इंतज़ार नहीं करेंगी
फ़िटनेस का इंतज़ार अब नहीं करेंगी
kalandi hajara ki meri kawitayen
gole barud se lais
march karne ke liye taiyar
fitnes ke intzar mein
jald se jald
muzaffarpur pahunchne ke liye
jel toDkar
balatkari shatiron ko maut ke ghat utarne ke liye
sirf bihar band mein shamil hone ke liye hi nahin
bihar sarkar ko ulatte hue
asam pahunch jane ke liye
chalis lakh logon ki pankti mein shamil hote hue
saDhe chhappan inch ka sina tane
manaw sabhyata ke parcham ko buland karte hue
modi shah ki satta ko parast karte hue
dilli darbar ko maut ka nimantran dete hue
bharat pak sima par pahunch jane ke liye
apne kashmiriyon ko nai lal subah dilate hue
duniya bhar ke mehanatkash awam ko phir phir jeet dilane ke liye
fitnes ka intzar mein thahri hui
ab intzar nahin karengi
meri kawitayen
girte paDte hue laDengi
fitnes ka intzar nahin karengi
fitnes ka intzar ab nahin karengi
kalandi hajara ki meri kawitayen
gole barud se lais
march karne ke liye taiyar
fitnes ke intzar mein
jald se jald
muzaffarpur pahunchne ke liye
jel toDkar
balatkari shatiron ko maut ke ghat utarne ke liye
sirf bihar band mein shamil hone ke liye hi nahin
bihar sarkar ko ulatte hue
asam pahunch jane ke liye
chalis lakh logon ki pankti mein shamil hote hue
saDhe chhappan inch ka sina tane
manaw sabhyata ke parcham ko buland karte hue
modi shah ki satta ko parast karte hue
dilli darbar ko maut ka nimantran dete hue
bharat pak sima par pahunch jane ke liye
apne kashmiriyon ko nai lal subah dilate hue
duniya bhar ke mehanatkash awam ko phir phir jeet dilane ke liye
fitnes ka intzar mein thahri hui
ab intzar nahin karengi
meri kawitayen
girte paDte hue laDengi
fitnes ka intzar nahin karengi
fitnes ka intzar ab nahin karengi
स्रोत :
पुस्तक : मार्च करती हुई मेरी कविताएँ (पृष्ठ 143)
रचनाकार : शिवमंगल सिद्धांतकर
प्रकाशन : अधिकरण प्रकाशन
संस्करण : 2019
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.