जब भूखा इंसान रोटी की चाह भूल जाए
और भटका इंसान घर की राह भूल जाए
उसे राष्ट्रवाद की दारू कोई भी पिला सकता है।
जो शोषकों का किया गया अपराध भूल जाए
जो अब तक ग़ुलामी का चखा स्वाद भूल जाए
उसे अध्यात्म का पाठ कोई भी पढ़ा सकता है।
जो किसान पाले की मार भूल जाए
और अनिश्चित वर्षा की धार भूल जाए
उसके खेत में साँड़ कोई भी हाँक सकता है।
जब शेर स्वाभाविक दहाड़ भूल जाए
ऊँट को देख ऊँचाई पहाड़ भूल जाए
उस शेर को घास कोई भी खिला सकता है।
जब डोली उठाना कहार भूल जाए
और आँगन में आना बाहार भूल जाए
उसका मड़वा एक अदना पवन भी हिला सकता है।
जब दहलीज़ पर जलना चराग़ भूल जाए
अलि बागों में जाए पर पराग भूल जाए
उसे बेरोज़गार का मारा कोई भी बना सकता है।
जब कोयल को पालना काग भूल जाए
माँ बथुआ और सरसों का साग भूल जाए
उस घर को पिंजड़ा कोई भी बना सकता है।
जब गमले का पौधा बढ़वार भूल जाए
खाद रसद और पानी की मार भूल जाए
उसे बोनसाई-सा पौधा कोई भी बना सकता है।
jab bhukha insaan roti ki chaah bhool jaye
aur bhatka insaan ghar ki raah bhool jaye
use rashtravad ka daru koi bhi pila sakta hai.
jo shoshkon ka kiya gaya apradh bhool jaye
jo ab tak ghulami ka chakha svaad bhool jaye
use adhyatm ka paath koi bhi paDha sakta hai.
jo kisan pale ki maar bhool jaye
aur anishchit varsha ki dhaar bhool jaye
uske khet mein saanDh koi bhi haak sakta hai.
jab sher svabhavik dahaD bhool jaye
unt ko dekh unchai pahaD bhool jaye
us sher ko ghaas koi bhi khila sakta hai.
jab Doli uthana kahar bhool jaye
aurangan mein aana bahar bhool jaye
uska maDva ek adna pavan bhi hila sakta hai.
jab dahliz par jalna charagh bhool jaye
ali bagon mein jaye par praag bhool jaye
use berozgar ka mara koi bhi bana sakta hai.
jab koel ko palna kaag bhool jaye
maan bathua aur sarson ka saag bhool jaye
us ghar ko pinjDa koi bhi bana sakta hai.
jab gamle ka paudha baDhvar bhool jaye
khaad rasad aur pani ki maar bhool jaye
use bonsai sa paudha koi bhi bana sakta hai.

स्रोत :
रचनाकार : बच्चा लाल 'उन्मेष'
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.