तुमने कहा—नदी
मैं खिलखिलाकर हँस पड़ी
तुमने कहा—हवा
मैंने बादलों पर फैला दिए
अपने दोनों हाथ
तुमने कहा—सपने
मैं तितलियों से माँग लाई
कुछ चटख़ और सुर्ख़ रंग
तुमने कहा—आकाश
मैंने मुस्कुराते हुए
तुम्हारा नाम लिया
तुमने कहा—विदा
और मरती चली गई मेरी आँखों में
तुम्हारी सबसे प्रिय वह सुरमयी मछली
समझने वाली बात है कि
मेरी आँखों में अब भी उतरती है वही साँझ
मेरी आँखों में अब भी जलती है वही आग
उस काले कौए की आँखें
और भी काली-काली हुई जाती हैं
झुलसते जाते हैं कबूतरों के पर
बिल्ली का एक बच्चा भागता है
डर कर इधर से उधर
फ़ाख़्ता कूँ-कूँ करती
उड़ती चली जाती है कहीं दूर
और एक हरियाया दरख़्त जल कर
ठूँठ हुआ चला जाता है
समझने वाली बात है कि
अब भी हर रोज़ फूटती है
मेरे देह से एक नदी
अब भी हर रोज़
मैं खिलखिलाकर हँसती हूँ
tumne kaha—nadi
main khilakhilakar hans paDi
tumne kaha—hawa
mainne badlon par phaila diye
apne donon hath
tumne kaha—sapne
main titaliyon se mang lai
kuch chatakh aur surkh rang
tumne kaha—akash
mainne muskurate hue
tumhara nam liya
tumne kaha—wida
aur marti chali gai meri ankhon mein
tumhari sabse priy wo suramyi machhli
samajhne wali baat hai ki
meri ankhon mein ab bhi utarti hai wahi sanjh
meri ankhon mein ab bhi jalti hai wahi aag
us kale kaue ki ankhen
aur bhi kali kali hui jati hain
jhulaste jate hain kabutron ke par
billi ka ek bachcha bhagta hai
Dar kar idhar se udhar
fakhta koon koon karti
uDti chali jati hai kahin door
aur ek hariyaya darakht jal kar
thoonth hua chala jata hai
samajhne wali baat hai ki
ab bhi har roz phutti hai
mere deh se ek nadi
ab bhi har roz
main khilakhilakar hansti hoon
tumne kaha—nadi
main khilakhilakar hans paDi
tumne kaha—hawa
mainne badlon par phaila diye
apne donon hath
tumne kaha—sapne
main titaliyon se mang lai
kuch chatakh aur surkh rang
tumne kaha—akash
mainne muskurate hue
tumhara nam liya
tumne kaha—wida
aur marti chali gai meri ankhon mein
tumhari sabse priy wo suramyi machhli
samajhne wali baat hai ki
meri ankhon mein ab bhi utarti hai wahi sanjh
meri ankhon mein ab bhi jalti hai wahi aag
us kale kaue ki ankhen
aur bhi kali kali hui jati hain
jhulaste jate hain kabutron ke par
billi ka ek bachcha bhagta hai
Dar kar idhar se udhar
fakhta koon koon karti
uDti chali jati hai kahin door
aur ek hariyaya darakht jal kar
thoonth hua chala jata hai
samajhne wali baat hai ki
ab bhi har roz phutti hai
mere deh se ek nadi
ab bhi har roz
main khilakhilakar hansti hoon
स्रोत :
रचनाकार : स्मिता सिन्हा
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.