न तो रूप का लावण्य है
न देह का ताप
न मन का विस्तार है
न चेतना का बहाव
इन्हें तो काव्य-मर्यादा का दोष भी नहीं लगता
इच्छाएँ भरतमुनि की नटी ठहरीं
जिन्होंने भाषा के बर्ताव से मुक्त होकर
भंगिमाओं में व्यक्त होना चुना
और हर बार अपने ही हाथों छली गईं
पैर फैलाने की जुगत में नए आयाम ढूँढ़ती
त्रासदियाँ चाहती रहीं स्वप्नों के साथ
सतृष्ण-सलज्ज-सहज अभिसार
और स्वप्न फूलों की तलाश में भागते रहे
हर मसले में मसाला ढूँढ़ने की लोलुपता
संकुचन और प्रसार को जीवन का सार समझती रही
और जीवन आलते के पानी-सा बह गया
अपनी ही प्रेतछाया से शापित देह
किसी ठूँठ की तरह अपनी धुरी पर खड़ी है
अग्निधर्मा गंध की आस में
तुम्हारे हम के चक्कर में
मेरा मैं भी गया
na to roop ka lavanya hai
na deh ka taap
na man ka vistar hai
na chetna ka bahav
inhen to kavya maryada ka dosh bhi nahin lagta
ichchhayen bharatamuni ki nati thahrin
jinhonne bhasha ke bartav se mukt hokar
bhangimaon mein vyakt hona chuna
aur har baar apne hi hathon chhali gain
pair phailane ki jugat mein ne ayam DhunDhati
trasadiyan chahti rahin svapnon ke saath
satrishn salajj sahj abhisar
aur svapn phulon ki talash mein bhagte rahe
har masle mein masala DhunDhane ki lolupta
sankuchan aur prasar ko jivan ka saar samajhti rahi
aur jivan aalte ke pani sa bah gaya
apni hi pretchhaya se shapit deh
kisi thoonth ki tarah apni dhuri par khaDi hai
agnidharma gandh ki aas men
tumhare hum ke chakkar men
mera main bhi gaya
na to roop ka lavanya hai
na deh ka taap
na man ka vistar hai
na chetna ka bahav
inhen to kavya maryada ka dosh bhi nahin lagta
ichchhayen bharatamuni ki nati thahrin
jinhonne bhasha ke bartav se mukt hokar
bhangimaon mein vyakt hona chuna
aur har baar apne hi hathon chhali gain
pair phailane ki jugat mein ne ayam DhunDhati
trasadiyan chahti rahin svapnon ke saath
satrishn salajj sahj abhisar
aur svapn phulon ki talash mein bhagte rahe
har masle mein masala DhunDhane ki lolupta
sankuchan aur prasar ko jivan ka saar samajhti rahi
aur jivan aalte ke pani sa bah gaya
apni hi pretchhaya se shapit deh
kisi thoonth ki tarah apni dhuri par khaDi hai
agnidharma gandh ki aas men
tumhare hum ke chakkar men
mera main bhi gaya
स्रोत :
रचनाकार : जावेद आलम ख़ान
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.