ये धूप की लौ हमारी है
और ये बरिशें भी
इन्होंने बनाया है हमें
इन्होंने सताया है हमें
इन्होंने जिलाया है हमें
इन्होंने मिलाया है हमें
पूरव से पश्चिम तक मैदानों में
उत्तर से दक्षिण तक मैदानों में
ख़ूब तपाया है हमें
हरे-भरे पत्तो की छाया ने
बाँह पकड़ कर सुलाया है हमें
ये सारे बंदे अपने हैं
जिन पर पानी की बूँद पड़ी
ये सारे बंदे अपने हैं
जिनकी काया यहाँ जली
तू भी इन्हीं हवाओं में
मैं भी इन्हीं हवाओं में
जिस राह पे तेरी मंज़िल है
उस राह पे मेरी मंज़िल है
ये धूप की लौ हमारी है
और ये बारिशें भी
ये तेरा भी धरम है
ये मेरा भी धरम है।
ye dhoop ki lau hamari hai
aur ye barishen bhi
inhonne banaya hai hamen
inhonne sataya hai hamen
inhonne jilaya hai hamen
inhonne milaya hai hamen
purav se pashchim tak maidanon men
uttar se dakshin tak maidanon mein
khoob tapaya hai hamen
hare bhare patto ki chhaya ne
baanh pakaD kar sulaya hai hamein
ye sare bande apne hain
jin par pani ki boond paDi
ye sare bande apne hain
jinki kaya yahan jali
tu bhi inhin havaon mein
main bhi inhin havaon men
jis raah pe teri manzil hai
us raah pe meri manzil hai
ye dhoop ki lau hamari hai
aur ye barishen bhi
ye tera bhi dharam hai
ye mera bhi dharam hai.
ye dhoop ki lau hamari hai
aur ye barishen bhi
inhonne banaya hai hamen
inhonne sataya hai hamen
inhonne jilaya hai hamen
inhonne milaya hai hamen
purav se pashchim tak maidanon men
uttar se dakshin tak maidanon mein
khoob tapaya hai hamen
hare bhare patto ki chhaya ne
baanh pakaD kar sulaya hai hamein
ye sare bande apne hain
jin par pani ki boond paDi
ye sare bande apne hain
jinki kaya yahan jali
tu bhi inhin havaon mein
main bhi inhin havaon men
jis raah pe teri manzil hai
us raah pe meri manzil hai
ye dhoop ki lau hamari hai
aur ye barishen bhi
ye tera bhi dharam hai
ye mera bhi dharam hai.
स्रोत :
पुस्तक : पानी है तो फूटेगा (पृष्ठ 9)
रचनाकार : राजेश सकलानी
प्रकाशन : परिकल्पना प्रकाशन
संस्करण : 2019
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.