औरत को चाहिए थी महज़ एक जेब
उसमें चंद खनकते सिक्के
सिक्कों के बल पर आज़ाद करने थे
कुछ ऐसे पंछी
जो पीढ़ी दर पीढी़
किसी महान षड्यंत्र के तहत
होते आए थे क़ैद
चाभियाँ पल्लू में बाँध
नहीं भाता उन्हें रानियों का स्वाँग
उन चभियों ने बंद कर रखे हैं
कई क़ीमती संदूक़
जिनमें बंद हैं
ख़ुद रानियाँ ही
धूल फाँक रहीं गहनों की
किसी हीरे किसी मोती की चमक
नहीं कर रही उनके जीवन में उजाला
उजाले के लिए उन्हें
निकलना होगा इन कीमती संदूक़ों से बाहर
रगड़ने होंगे तलवे जलती मिट्टी पर
इस रगड़ से ही बनते हैं
रोशन सिक्के
उन सिक्कों को मारना होगा
उस आदमी के मुँह पर
जो कहता है
कि घर में पड़ी औरत मुफ़्त तोड़ती है रोटियाँ
दरअस्ल, तुमने थमा दीं औरत को चाभियाँ
बना दिया उन्हें रानियाँ
केवल इसलिए
कि तुम्हें
औरत के पैर की रगड़ से निकले
सिक्कों से डर लगता है
कि तुम्हें औरत की जेब से डर लगता है।
aurat ko chahiye thi mahz ek jeb
usmen chand khanakte sikke
sikkon ke bal par azad karne the
kuch aise panchhi
jo piDhi dar piDhi
kisi mahan shaDyantr ke tahat
hote aaye the qaid
chabhiyan pallu mein baandh
nahin bhata unhen raniyon ka svaang
un chabhiyon ne band kar rakhe hain
kai qimti sanduk
jinmen band hain
khud raniyan hi
dhool phaank rahin gahnon ki
kisi hire kisi moti ki chamak
nahin kar rahi unke jivan mein ujala
ujale ke liye unhen
nikalna hoga in kimti sandukon se bahar
ragaDne honge talve jalti mitti par
is ragaD se hi bante hain
roshan sikke
un sikkon ko marana hoga us adami ke munh par
jo kahta hai
ki ghar mein paDi aurat muft toDti hai rotiyan
darasal tumne thama di aurat ko chabhiyan
bana diya unhen raniyan
keval isliye
ki tumhen
aurat ke pair ki ragaD se nikle
sikkon se Dar lagta hai
ki tumhein aurat ki jeb se Dar lagta hai.
aurat ko chahiye thi mahz ek jeb
usmen chand khanakte sikke
sikkon ke bal par azad karne the
kuch aise panchhi
jo piDhi dar piDhi
kisi mahan shaDyantr ke tahat
hote aaye the qaid
chabhiyan pallu mein baandh
nahin bhata unhen raniyon ka svaang
un chabhiyon ne band kar rakhe hain
kai qimti sanduk
jinmen band hain
khud raniyan hi
dhool phaank rahin gahnon ki
kisi hire kisi moti ki chamak
nahin kar rahi unke jivan mein ujala
ujale ke liye unhen
nikalna hoga in kimti sandukon se bahar
ragaDne honge talve jalti mitti par
is ragaD se hi bante hain
roshan sikke
un sikkon ko marana hoga us adami ke munh par
jo kahta hai
ki ghar mein paDi aurat muft toDti hai rotiyan
darasal tumne thama di aurat ko chabhiyan
bana diya unhen raniyan
keval isliye
ki tumhen
aurat ke pair ki ragaD se nikle
sikkon se Dar lagta hai
ki tumhein aurat ki jeb se Dar lagta hai.
स्रोत :
रचनाकार : अदीबा ख़ानम
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.