बिजली की कोई सार्थकता नहीं है
वह महज़ एक ज़ख़्म है आसमान में—
किसी ख़ूनआलूदा बूचड़ख़ाने जैसे
या जंग के बाद के मैदान जैसे आसमान में।
बारिश किसी जातक का निमित्त नहीं बनती
मृत शिशुओं के सिर विहीन जिस्मों के सिवा
और मकान किसी जिन्न के माफ़िक निश्छाय है।
काग़ज़ का यह टुकड़ा। किसी डरे हुए चूहे के माफ़िक
बढ़ता है सीधा
वक़्त रूपी बिल्ली के जबड़ों में जा भिचने को।
बादलों की गरज कोई संदेश नहीं देती
महज़ दाँव-पेंच खेलती है हमारे कानों के साथ
और हमारी अथाह वेदना के गर्त में
खोदती है और गहरी खाइयाँ।
रोशनी हमारे लिए निषिद्ध है,
कौंधे आग की भूमिगत नदियाँ हैं,
खंभों के बीच करेंट के काले फीते।
काले जुगनुओं की तरह हैं विलुप्त तारे
जिन्हें हवा नीचे की ओर ठेलती है
और वे जड़ों को रोग दे जाते हैं।
अपनी चिनगियों के साथ क्या वे
ये बीज ही छिटकाते हैं सिर्फ़?
और अंत में;
राख पर पले हैं हम लोग।
फटने-फटने को आमादा हैं हमारे उदर
क्योंकि उन्हें कंकर पत्थरों से भरा गया है।
bijli ki koi sarthakta nahin hai
wo mahz ek zakhm hai asman men—
kisi khunaluda buchaDkhane jaise
ya jang ke baad ke maidan jaise asman mein.
barish kisi jatak ka nimitt nahin banti
mrit shishuon ke sir vihin jismon ke siva
aur makan kisi jinn ke mafik nishchhay hai.
kaghaz ka ye tukDa. kisi Dare hue chuhe ke mafik
baDhta hai sidha
vaqt rupi billi ke jabDon mein ja bhichne ko.
badlon ki garaj koi sandesh nahin deti
mahz daanv pench khelti hai hamare kanon ke saath
aur hamari athah vedna ke gart men
khodti hai aur gahri khaiyan.
roshni hamare liye nishiddh hai,
kaundhe aag ki bhumigat nadiyan hain,
khambhon ke beech karent ke kale phite.
kale juganuon ki tarah hain vilupt tare
jinhen hava niche ki or thelti hai
aur ve jaDon ko rog de jate hain.
apni chinagiyon ke saath kya ve
ye beej hi chhitkate hain sirf?
aur ant men;
raakh par pale hain hum log.
phatne phatne ko amada hain hamare udar
kyon ki unhen kankar patthron se bhara gaya hai.
bijli ki koi sarthakta nahin hai
wo mahz ek zakhm hai asman men—
kisi khunaluda buchaDkhane jaise
ya jang ke baad ke maidan jaise asman mein.
barish kisi jatak ka nimitt nahin banti
mrit shishuon ke sir vihin jismon ke siva
aur makan kisi jinn ke mafik nishchhay hai.
kaghaz ka ye tukDa. kisi Dare hue chuhe ke mafik
baDhta hai sidha
vaqt rupi billi ke jabDon mein ja bhichne ko.
badlon ki garaj koi sandesh nahin deti
mahz daanv pench khelti hai hamare kanon ke saath
aur hamari athah vedna ke gart men
khodti hai aur gahri khaiyan.
roshni hamare liye nishiddh hai,
kaundhe aag ki bhumigat nadiyan hain,
khambhon ke beech karent ke kale phite.
kale juganuon ki tarah hain vilupt tare
jinhen hava niche ki or thelti hai
aur ve jaDon ko rog de jate hain.
apni chinagiyon ke saath kya ve
ye beej hi chhitkate hain sirf?
aur ant men;
raakh par pale hain hum log.
phatne phatne ko amada hain hamare udar
kyon ki unhen kankar patthron se bhara gaya hai.
स्रोत :
पुस्तक : सूखी नदी पर ख़ाली नाव (पृष्ठ 441)
संपादक : वंशी माहेश्वरी
रचनाकार : बोगोमिल ग्युजेल
प्रकाशन : संभावना प्रकाशन
संस्करण : 2020
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.