यह कोई कविता की
पंक्ति नहीं है
मिर्च का पौधे में पककर
लाल होना
बल्कि दुनिया की
जीवित अद्भुत घटना है
और उतना ही आश्चर्यजनक है
मिर्च का
चक्की में पिसने के बाद
अपने स्वाद का तेवर धार करना
चाकू जानता है
मिर्च की सच्चाई
धरती देखती है
मिर्च का लाल होना
इसलिए मेरे गाँव के
हर घर के चूल्हे के पास
रखा होता है
मिर्च के साथ नमक
साथ ही गाँव के हर खेत में
पकती है
ख़ूबसूरत लाल मिर्च
गाँव के आदिवासी जानते हैं
लाल मिर्च सिर्फ़ स्वाद नहीं है
बल्कि बगावत के लिए
संगठित संदेश है!
...
टीप—
बस्तर के आदिवासियों ने आजादी की लड़ाई में
अँग्रेज़ों के ख़िलाफ़ बगावत के लिए गाँव के गाँव संदेश माध्यम के रूप में लाल मिर्च का उपयोग किया था!
ye koi kavita ki
pankti nahin hai
mirch ka paudhe mein pakkar
laal hona
balki duniya ki
jivit adbhut ghatna hai
aur utna hi ashcharyajnak hai
mirch ka
chakki mein pisne ke baad
apne svaad ka tevar dhaar karna
chaku janta hai
mirch ki sachchai
dharti dekhti hai
mirch ka laal hona
isliye mere gaanv ke
har ghar ke chulhe ke paas
rakha hota hai
mirch ke saath namak
saath hi gaanv ke har khet mein
pakti hai
khubsurat laal mirch
gaanv ke adivasi jante hain
laal mirch sirf svaad nahin hai
balki bagavat ke liye
sangthit sandesh hai!
. . .
teep—
bastar ke adivasiyon ne ajadi ki laDai mein
angrezon ke khilaf bagavat ke liye gaanv ke gaanv sandesh madhyam ke roop mein laal mirch ka upyog kiya tha!
ye koi kavita ki
pankti nahin hai
mirch ka paudhe mein pakkar
laal hona
balki duniya ki
jivit adbhut ghatna hai
aur utna hi ashcharyajnak hai
mirch ka
chakki mein pisne ke baad
apne svaad ka tevar dhaar karna
chaku janta hai
mirch ki sachchai
dharti dekhti hai
mirch ka laal hona
isliye mere gaanv ke
har ghar ke chulhe ke paas
rakha hota hai
mirch ke saath namak
saath hi gaanv ke har khet mein
pakti hai
khubsurat laal mirch
gaanv ke adivasi jante hain
laal mirch sirf svaad nahin hai
balki bagavat ke liye
sangthit sandesh hai!
. . .
teep—
bastar ke adivasiyon ne ajadi ki laDai mein
angrezon ke khilaf bagavat ke liye gaanv ke gaanv sandesh madhyam ke roop mein laal mirch ka upyog kiya tha!
स्रोत :
रचनाकार : विजय सिंह
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.