जिनके सीने में सुइयों-सा गड़ता है दर्द विवशता का,
जिनके घर में घुस बैठा है अंधा राक्षस परवशता का,
जो दुनिया भर का बोझ उठाए रंजोग़म से लड़ते हैं,
जो अपनी राहें आप बना पर्वत की चोटी चढ़ते हैं,
जिनकी दो ख़ाली जेबें जब दुकान-हाट पर जाती हैं,
तो मोल माल का देख दूर से आहें भर रह जाती हैं,
पर जिनके कड़ियल सीने में है राजों के राजों-सा दिल,
इस आसमान के नीचे ही जुड़ जाती हैं जिनकी महफ़िल...
जिनके सपनों की प्रीत परी बिक जाती है बाज़ारों में,
जिनके अरमानों की कलियाँ सो जाती हैं अंगारों में,
फिर भी जो दिल के घाव छुपा हँसते हैं ज़िंदा रहते हैं...
तूफ़ाँ से काँधे क़दम मिला जो संग समय के बहते हैं...
jinke sine mein suiyon sa gaDta hai dard wiwashta ka,
jinke ghar mein ghus baitha hai andha rakshas parwashta ka,
jo duniya bhar ka bojh uthaye ranjogham se laDte hain,
jo apni rahen aap bana parwat ki choti chaDhte hain,
kawi unka hai,
kawita unki!
jinki do khali jeben jab dukan hat par jati hain,
to mol mal ka dekh door se ahen bhar rah jati hain,
par jinke kaDiyal sine mein hai rajon ke rajon sa dil,
is asman ke niche hi juD jati hain jinki mahfil
kawi unka hai,
kawita unki!
jinke sapnon ki preet pari bik jati hai bazaron mein,
jinke armanon ki kaliyan so jati hain angaron mein,
phir bhi jo dil ke ghaw chhupa hanste hain zinda rahte hain
tufan se kandhe qadam mila jo sang samay ke bahte hain
kawi unka hai,
kawita unki

स्रोत :
पुस्तक : अंदर की आग (पृष्ठ 111)
संपादक : रमा भारती
रचनाकार : शंकर शैलेंद्र
प्रकाशन : राजकमल प्रकाशन
संस्करण : 2013
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.