मेरी भाषा की शुरुआती कविता उन घुँघरुओं ने सुनाई
रोती बच्ची को बहलाने जिन्हें खनकाया गया था
एक लंबी कविता उस झूले ने रची
जिसकी गोद में कुछ बरस बिताए
मेरी भाषा की बेहद सुंदर कविताएँ
मिट्ठू, ख़रगोश और बिल्लियों ने सुनाई
जो शब्दों से पहले मेरे साथी बने
मेरी भाषा समझकर एक पौधे ने हुँकारा भरा
और एक फूल मेरी ओर बढ़ा दिया
र से रंग पढ़ने से पहले
प से पीला जानने से पहले
मैंने आम के चित्र में रंग भरा
रंगों ने मुझे कविता का सौंदर्य दिया
अक्षरज्ञान से पहले मैंने माँ की ख़ुशबू पहचानी
और पिता की गोद में सुनी
संसार की सबसे सुंदर प्रेम-कविताएँ
मेरी तुतलाहट के प्रत्युत्तर में उनकी मुस्कान
आज भी मेरी भाषा की सबसे विश्वसनीय कविताएँ हैं
मेरी भाषा का पहला कवि
एक पेड़ है
जिसने बताया
आसमान की ओर देखते हुए
जड़ों को याद रखना ज़रूरी है
मैंने पत्थर से सीखीं पानी की कविताएँ
meri bhasha ki shuruati kavita un ghungharuon ne sunai
roti bachchi ko bahlane jinhen khankaya gaya tha
ek lambi kavita us jhule ne rachi
jiski god mein kuch baras bitaye
meri bhasha ki behad sundar kavitayen
mitthu, khargosh aur billiyon ne sunai
jo shabdon se pahle mere sathi bane
meri bhasha samajhkar ek paudhe ne hunkara bhara
aur ek phool meri or baDha diya
ra se rang paDhne se pahle
pa se pila janne se pahle
mainne aam ke chitr mein rang bhara
rangon ne mujhe kavita ka saundarya diya
akshragyan se pahle mainne maan ki khushbu pahchani
aur pita ki god mein suni
sansar ki sabse sundar prem kavitayen
meri tutlahat ke pratyuttar mein unki muskan
aaj bhi meri bhasha ki sabse vishvasniy kavitayen hain
meri bhasha ka pahla kavi
ek peD hai
jisne bataya
asman ki or dekhte hue
jaDon ko yaad rakhna zaruri hai
mainne patthar se sikhin pani ki kavitayen
meri bhasha ki shuruati kavita un ghungharuon ne sunai
roti bachchi ko bahlane jinhen khankaya gaya tha
ek lambi kavita us jhule ne rachi
jiski god mein kuch baras bitaye
meri bhasha ki behad sundar kavitayen
mitthu, khargosh aur billiyon ne sunai
jo shabdon se pahle mere sathi bane
meri bhasha samajhkar ek paudhe ne hunkara bhara
aur ek phool meri or baDha diya
ra se rang paDhne se pahle
pa se pila janne se pahle
mainne aam ke chitr mein rang bhara
rangon ne mujhe kavita ka saundarya diya
akshragyan se pahle mainne maan ki khushbu pahchani
aur pita ki god mein suni
sansar ki sabse sundar prem kavitayen
meri tutlahat ke pratyuttar mein unki muskan
aaj bhi meri bhasha ki sabse vishvasniy kavitayen hain
meri bhasha ka pahla kavi
ek peD hai
jisne bataya
asman ki or dekhte hue
jaDon ko yaad rakhna zaruri hai
mainne patthar se sikhin pani ki kavitayen
स्रोत :
रचनाकार : श्रुति कुशवाहा
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.