मैंने सबसे पहला युद्ध अपनी देह से लड़ा
और उसके बाद
न जाने कितने युद्धों से
बच निकल आया हूँ मैं
न जाने कितनी त्रासदियों को दिया है मैंने चकमा
किसी अनजाने मोड़ पर अनायास ही मुड़ गया
महामारियाँ बुहारतीं रहीं सूनी सड़कें
दुखों के पहाड़ों को ढ़ोया है आत्मा पर
पवित्र संस्कारों की तरह,
न जाने कितने युगों से
नहीं उतारा मैंने अपना बोझ
मैं चरैवैति के बहुत पहले से चल रहा हूँ
चप्पलों के आविष्कार की कल्पना से
हजारों साल पुरानी है मेरी चाल
और खाल शायद उससे भी अधिक पुरानी कि
जितने शून्य जड़ती है राजनीति अपनी घोषणाओं में
पर मैं तुम्हें विश्वास दिलाता हूँ
मैं यहाँ से भी निकल भागूँगा उतनी दूर
अपने सारे असबाब को सर पर लादे
और तुम्हें यक़ीन दिलाता हूँ
कि जाते-जाते समेट ले जाऊँगा अपने साथ
तुम्हारे पैरों तले की सारी पृथ्वी
जिसकी गोलाई मेरे छालों की रगड़ से खुरदरी हो चुकी है।
mainne sabse pahla yuddh apni deh se laDa
aur uske baad
na jane kitne yuddhon se
bach nikal aaya hoon main
na jane kitni trasadiyon ko diya hai mainne chakma
kisi anjane moD par anayas hi muD gaya
mahamariyan buhartin rahin suni saDken
dukhon ke pahaDon ko Dhoya hai aatma par
pavitra sanskaron ki tarah,
na jane kitne yugon se
nahin utara mainne apna bojh
main charaivaiti ke bahut pahle se chal raha hoon
chapplon ke avishkar ki kalpana se
hajaron saal purani hai meri chaal
aur khaal shayad usse bhi adhik purani ki
jitne shunya jaDti hai rajaniti apni ghoshnaon men
par main tumhein vishvas dilata hoon
main yahan se bhi nikal bhagunga utni door
apne sare asbab ko sar par lade
aur tumhein yaqin dilata hoon
ki jate jate samet le jaunga apne saath
tumhare pairon tale ki sari prithvi
jiski golai mere chhalon ki ragaD se khuradri ho chuki hai.
mainne sabse pahla yuddh apni deh se laDa
aur uske baad
na jane kitne yuddhon se
bach nikal aaya hoon main
na jane kitni trasadiyon ko diya hai mainne chakma
kisi anjane moD par anayas hi muD gaya
mahamariyan buhartin rahin suni saDken
dukhon ke pahaDon ko Dhoya hai aatma par
pavitra sanskaron ki tarah,
na jane kitne yugon se
nahin utara mainne apna bojh
main charaivaiti ke bahut pahle se chal raha hoon
chapplon ke avishkar ki kalpana se
hajaron saal purani hai meri chaal
aur khaal shayad usse bhi adhik purani ki
jitne shunya jaDti hai rajaniti apni ghoshnaon men
par main tumhein vishvas dilata hoon
main yahan se bhi nikal bhagunga utni door
apne sare asbab ko sar par lade
aur tumhein yaqin dilata hoon
ki jate jate samet le jaunga apne saath
tumhare pairon tale ki sari prithvi
jiski golai mere chhalon ki ragaD se khuradri ho chuki hai.
स्रोत :
रचनाकार : नितेश व्यास
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.