दिमाग़ को माइनस करने के बाद भी
आप करोड़ों के हैं
हर पल चौकन्ने रहिए
अपना ध्यान रखिए
आपके पास दो गुर्दे हैं
मार्केट में जिनकी क़ीमत लाखों में है
आपके पास दो आँखें है
मार्केट में जिनकी क़ीमत लाखों में है
आपके पास धड़कता दिल है
मार्केट में जिसकी क़ीमत लाखों में है
आपके पास यकृत है
आपके पास आहार नाल है
आपके पास छोटी आँत है
बड़ी आँत भी है
फेफड़े हैं
कई बोतल ख़ून शरीर में दौड़ रहा है
जिसकी क़ीमत आपको पता ही है
आपकी हड्डियों का ढाँचा तक
लाखों का है
घरवालों की नज़र में
भले ही आप दो कौड़ी के हों
हैं आप करोड़ों के
अपने आपको जतन से सँभाले रखिए जनाब
dimagh ko mainas karne ke baad bhi
ap karoDon ke hain
har pal chaukanne rahiye
apna dhyan rakhiye
apke pas do gurde hain
market mein jinki qimat lakhon mein hai
apke pas do ankhen hai
market mein jinki qimat lakhon mein hai
apke pas dhaDakta dil hai
market mein jiski qimat lakhon mein hai
apke pas yakrt hai
apke pas ahar nal hai
apke pas chhoti aant hai
baDi aant bhi hai
phephDe hain
kai botal khoon sharir mein dauD raha hai
jiski qimat aapko pata hi hai
apaki haDDiyon ka Dhancha tak
lakhon ka hai
gharwalon ki nazar mein
bhale hi aap do kauDi ke hon
hain aap karoDon ke
apne aapko jatan se sambhale rakhiye janab
dimagh ko mainas karne ke baad bhi
ap karoDon ke hain
har pal chaukanne rahiye
apna dhyan rakhiye
apke pas do gurde hain
market mein jinki qimat lakhon mein hai
apke pas do ankhen hai
market mein jinki qimat lakhon mein hai
apke pas dhaDakta dil hai
market mein jiski qimat lakhon mein hai
apke pas yakrt hai
apke pas ahar nal hai
apke pas chhoti aant hai
baDi aant bhi hai
phephDe hain
kai botal khoon sharir mein dauD raha hai
jiski qimat aapko pata hi hai
apaki haDDiyon ka Dhancha tak
lakhon ka hai
gharwalon ki nazar mein
bhale hi aap do kauDi ke hon
hain aap karoDon ke
apne aapko jatan se sambhale rakhiye janab
स्रोत :
रचनाकार : हरि मृदुल
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.