संध्या को जब काम ख़तम कर अपने घर को आता हूँ
श्रमकण से भीगे कपड़े को तन पर चिपका पाता हूँ,
अंधकार में मेरे कपड़े, लेकिन, स्वर पा जाते हैं,
लाल ईंट का लाल गीत वे कंठ खोलकर गाते हैं।
गाते हैं, कैसे नीचे से ऊपर, उसके भी ऊपर
मैं चढ़ता जाता हूँ, अपना लाल बोझ सिर पर धरकर,
और पहुँचता चढ़ते-चढ़ते मैं सबसे ऊँची छत पर,
जिसके ऊपर तना हुआ है नग्न, घना नीला अंबर।
कैसे चारों ओर क्षितिज पर आँखें फिर घूमा करती,
जहाँ हवा सिहरी कुहरे से है ठंडी आहैं भरती,
जहाँ उषा भी दिखलाई देती है अपना भार लिए—
लाल-लाल ईंटों का अपने मस्तक पर संसार लिए।
संध्या को जब काम ख़तम कर अपने घर को आता हूँ
श्रमकण से भीगे कपड़े को तन पर चिपका पाता हूँ,
अंधकार में मेरे कपड़े, लेकिन, स्वर पा जाते हैं,
लाल ईंट का लाल गीत वे कंठ खोलकर गाते हैं।
sandhya ko jab kaam khatam kar apne ghar ko aata hoon
shramakn se bhige kapDe ko tan par chipka pata hoon,
andhkar mein mere kapDe, lekin, svar pa jate hain,
laal int ka laal geet ve kanth kholkar gate hain.
gate hai, kaise niche se upar, uske bhi upar main
chaDhta jata hoon apna laal bojh sir par dharkar,
aur pahunchta chaDhte chaDhte mein sabse unchi chhat par,
jiske upar tana hua hai nagn, ghana nila ambar.
kaise charon or kshaitij par ankhen phir ghuma karti,
jahan hava sihri kuhre se hai thanDi aahe bharti,
jahan usha bhi dikhlai deti hai apna bhaar liye—
laal laal inton ka apne mastak par sansar liye.

andhkar mein mere kapDe lekin svar pa jate hain,
laal int ka laal geet ve kanth kholkar gate hai.

स्रोत :
पुस्तक : चौंसठ रूसी कविताएँ (पृष्ठ 135)
रचनाकार : वसिली काज़ीन
प्रकाशन : राजपाल एंड संस
संस्करण : 1964
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.