रानी चेन्नम्मा है इसमें
और वीरांगना लक्ष्मीबाई भी
अहिल्या बाई की जीवन गाथा है
छोटी चम्पा के त्याग की कथा भी।
अब देखो ये है विश्व की लोककथाएँ
वस्त्र, संस्कृति, भाषा के पीछे
हर जगह सिर्फ़ आदमी है
जिसे लगती है भूख
जो चाहता है कपड़े और
एक छोटा-सा घर।
अब बारी थी नीली चिड़िया के देश की
मुख पृष्ठ के चित्र के साथ
पर फैला कर उड़ना शुरूकर दिया था
उस नन्हीं बालिका ने उसी पल।
छोटी-सी दौहित्री के समक्ष
खोला जा रहा था नाना द्वारा
वृहत संसार सशक्त स्त्रियों का
जोड़ा जा रहा था रिश्ता
मनुष्य का मनुष्य से और
रंगा जा रहा कोरे मन पर
अनदेखे देश के सतरंगी रंग।
व्यक्ति विमर्श की परिभाषा सिखाया था
उन किताबों ने और नाना ने
आज हर किताब की दुकान के सामने
ठिठकता है कदम उसका
क्योंकि विरासत आगे बढ़ाने का ज़िम्मा
अब उसका है।
rani chennamma hai ismen
aur virangna lakshmibai bhi
ahilya bai ki jivan gatha hai
chhoti champa ke tyaag ki katha bhi.
ab dekho ye hai vishv ki lokakthayen
vastra, sanskriti, bhasha ke pichhe
har jagah sirf adami hai
jise lagti hai bhookh
jo chahta hai kapDe aur
ek chhota sa ghar.
ab bari thi nili chiDiya ke desh ki
mukh prishth ke chitr ke saath
par phaila kar uDna shurukar diya tha
us nanhin balika ne usi pal.
chhoti si dauhitri ke samaksh
khola ja raha tha nana dvara
vrihat sansar sashakt striyon ka
joDa ja raha tha rishta
manushya ka manushya se aur
ranga ja raha kore man par
andekhe desh ke satrangi rang.
vyakti vimarsh ki paribhasha sikhaya tha
un kitabon ne aur nana ne
aaj har kitab ki dukan ke samne
thithakta hai kadam uska
kyonki virasat aage baDhane ka zimma
ab uska hai.
rani chennamma hai ismen
aur virangna lakshmibai bhi
ahilya bai ki jivan gatha hai
chhoti champa ke tyaag ki katha bhi.
ab dekho ye hai vishv ki lokakthayen
vastra, sanskriti, bhasha ke pichhe
har jagah sirf adami hai
jise lagti hai bhookh
jo chahta hai kapDe aur
ek chhota sa ghar.
ab bari thi nili chiDiya ke desh ki
mukh prishth ke chitr ke saath
par phaila kar uDna shurukar diya tha
us nanhin balika ne usi pal.
chhoti si dauhitri ke samaksh
khola ja raha tha nana dvara
vrihat sansar sashakt striyon ka
joDa ja raha tha rishta
manushya ka manushya se aur
ranga ja raha kore man par
andekhe desh ke satrangi rang.
vyakti vimarsh ki paribhasha sikhaya tha
un kitabon ne aur nana ne
aaj har kitab ki dukan ke samne
thithakta hai kadam uska
kyonki virasat aage baDhane ka zimma
ab uska hai.
स्रोत :
रचनाकार : मेधा झा
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.