जिह्वा पर भोजन का ही नहीं भाषा का भी स्वाद चढ़ता है
मिट्टी की देह से झरता है नमक
स्वप्न की आँख से नींद गिरी और चटक गई
अपनी ही काया में केश और नाख़ून रहे अभिशप्त
सबसे भीषण युद्ध घर के भीतर लड़े गए
पेड़ों ने धरती को छोड़ बारिश को लिखे प्रेम-पत्र
सर्वाधिक कोमल स्पर्श को सदैव बंद मिले द्वार
विरह ने किया सबसे अबोध हृदय का आखेट
प्रेम की राह से सुख हमेशा भटक गया
इस धरती पर तीन प्रमुख योनियाँ हुई
स्त्री, पुरुष और मनुष्य
मृत्यु के तीन कारण हुए
आयु, रोग और जीवन
तुमने मेरा नाम पुकारा और मेरी हृदयगति थम गई
केवल पीड़ा नहीं, सुख से भी आघात लगता है
jihva par bhojan ka hi nahin bhasha ka bhi svaad chaDhta hai
mitti ki deh se jharta hai namak
svapn ki ankh se neend giri aur chatak gai
apni hi kaya mein kesh aur nakhun rahe abhishapt
sabse bhishan yuddh ghar ke bhitar laDe ge
peDon ne dharti ko chhoD barish ko likhe prem patr
sarvadhik komal sparsh ko sadaiv band mile dvaar
virah ne kiya sabse abodh hriday ka akhet
prem ki raah se sukh hamesha bhatak gaya
is dharti par teen pramukh yoniyan hui
stri, purush aur manushya
mrityu ke teen karan hue
aayu, rog aur jivan
tumne mera naam pukara aur meri hridayagti tham gai
keval piDa nahin, sukh se bhi aghat lagta hai

Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.