main sirf kawita likhta hoon
is baat ka koi matlab nahin
kaiyon ko shayad hansi aaye
par main hath dekhana bhi janta hoon
mainne hawa ka hath dekha hai
hawa ek din tufan bankar sabse unchi
attalikaon ko Dhaha degi
mainne bhikhari bachchon ke hath dekhe hain
ane wale dinon mein unke kasht kam honge
ye theek theek nahin kaha ja sakta
mainne barish ka hath dekha hai
uske dimagh ka koi bharosa nahin
isliye aap sabke pas zaruri hai
ek chhate ka hona
swapn ka hath mainne dekha hain
use pakaDne ke liye toDni paDti hai neend
prem ka hath bhi mainne dekha hai
na chahte hue bhi wo jakDe rahega sabko
krantikariyon ke hath dekhana baDe bhagya ki baat hai
ek sath to we kabhi milte hi nahin
aur kaiyon ke hath to uD gaye hain bam se
baDe logon ke wishal hath bhi mujhe dekhne paDe hain
unka bhawishya andhkarmay hai
mainne bhishan dukh ki raat ka hath bhi dekha hai
uski bhor ho rahi hai
mainne jitni kawitayen likhi hain
usse kahin zyada dekhe hain hath
kripaya meri baat sunkar hansen nahin
mainne apna hath bhi dekha hai
mera bhawishya aapke hath mein hai