(तेज़ बरसात ने तरबतर कर दिया सारे मैदान को — इवान बूनिन)
तेज़ बरसात ने तरबतर कर दिया
सारे मैदान को
चिउरा एक टहनी पर
सुखा रहा अपने को
मधुर गंध आती है घास से
अबाबील
पर जिसके निकले हैं हाल में
उड़ने की कोशिश है कर रहा नीड़ से
कन्या किसान की
बेले अँगूर की बाँध रही टेक से
जाने किस बात पर हँसती है धीरे से
क्या कुछ ज़रूरत है इसको बताने की
धूप आनंद और वर्षा से भीगकर
लाल सुरा-बूँदों से चमक रहे
पोस्त-फूल किरमिजी
पोर्च तले खड़ा हुआ देख रहा
मनभावन दृश्य है
नदी के पार से तैर कर आ रहे गीत हैं
रक्तहीन युद्ध एक चल रहा सदैव से
श्वेत और लाल गुलाबों के बीच में।
(tez barsat ne tarabtar kar diya sare maidan ko)
—ivan bunin
tez barsat ne tarabtar kar diya
sare maidan ko
chiura ek tahni par
sukha raha apne ko
madhur gandh aati hai ghaas se
ababil
par jiske nikle hain haal men
uDne ki koshish hai kar raha neeD se
kanya kisan ki
bele angur ki baandh rahi tek se
jane kis baat par hansti hai dhire se
kya kuch zarurat hai isko batane ki
dhoop anand aur varsha se bhigkar
laal sura bundon se chamak rahe
post phool kiramiji
porch tale khaDa hua dekh raha
manbhavan drishya hai
nadi ke paar se tair kar aa rahe geet hain
raktahin yuddh ek chal raha sadaiv se
shvet aur laal gulabon ke beech mein
(tez barsat ne tarabtar kar diya sare maidan ko)
—ivan bunin
tez barsat ne tarabtar kar diya
sare maidan ko
chiura ek tahni par
sukha raha apne ko
madhur gandh aati hai ghaas se
ababil
par jiske nikle hain haal men
uDne ki koshish hai kar raha neeD se
kanya kisan ki
bele angur ki baandh rahi tek se
jane kis baat par hansti hai dhire se
kya kuch zarurat hai isko batane ki
dhoop anand aur varsha se bhigkar
laal sura bundon se chamak rahe
post phool kiramiji
porch tale khaDa hua dekh raha
manbhavan drishya hai
nadi ke paar se tair kar aa rahe geet hain
raktahin yuddh ek chal raha sadaiv se
shvet aur laal gulabon ke beech mein
स्रोत :
पुस्तक : एक सौ एक सोवियत कविताएँ (पृष्ठ 116)
रचनाकार : मक्सिम रिल्स्की
प्रकाशन : नेशनल पब्लिशिंग हाउस, दिल्ली
संस्करण : 1975
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.